Mumbai Saga ko release hue 1 mahina hua hai, aur film, Amazon Prime Video par aa bhi gaya! Director Sanjay Gupta ki crime thriller movie ko around 5 weeks ho chuke hai theatre mein release ho kar. Covid-19 ke second wave of infections ke chalte hue iss film ne theatres ke box office se sirf 12.82 crores hi kamaye.
Theatres Ke Haal Kharab!
Pandemic ke wajah se theatre and digital premiere releases mein kaafi changes aa gaye hai. Recently release hue films ott platforms aur digital premiers ke taraf tezzi se badh rahe hai.
Bollywood usually 8 week gap rakhti hai theatre release aur digital platforms ke release ke beech mein. But Covid ka situation dekh kar toh aisa hi lagta hai ki bollywood ka yeh trend change ho jayega. India mein Covid ke second wave ke chalte Bollywood aur film industry pe kaafi asar hua hai.
Kai saari films jo pandemic ke pahele se hi shoot hokar taiyar thi, usse lockdown aur theatres ke bandh hone ke wajah se unki release date ya toh rok di gayi hai ya fir postpone kar diya gaya hai.
Salman Khan ki radhe film bhi theatres aur online platforms Zee5 and Zeeplex par aek hi din release hogi. The Theatres are resisting to this change kyunki theatres ka buisness toh lockdown ke shuru se hi thapp pada hai! Aap hi sochiye pehle ke comparison mein last one and a half years mein aapne kitni films theatres mein jakar dekhi aur kitni films OTT platforms par dekhi?
Cast Of Mumbai Saga.
Mumbai saga ke lead actors John Abraham aur Emraan Hashmi hai. Mumbai Saga film mein John Aur Emraan ke alava Suniel Shetty, Gulshan Grover, Amol Gupte, Rohit Roy and Prateik Babbar ke iss film mein roles hai.
80s aur 90s ke era mein set Mumbai Saga mumbai ke changing phases ko dikhata hai. Ke kaise mumbai mein Mills ko close down kar kar malls aur high rise buildings banaye gaye the.
Mumbai Saga ke lead roles John Abraham plays the lead role of Amatya Rao and Emraan Hashmi as Inspector Vijay Savarkar.
Action thriller Mumbai Saga 27th april 2021 se Amazon prime video OTT platform par release ho jayega.
Mumbai Saga | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin