The National Aeronautics And Space Administration (NASA) Ne Haal Hi Me Ek Hypothetical Exercise Conduct Ki Jiska Objective Ye Tha Ki Planets Asteroid Impacts Ko Lekar Kitna Prepare Hain. Aapko Bata Den Ki Iska Result Kafi Alarming Aaya Hai Jisme Ye Pata Chala Hai Ki Ek Specific Asteroid Ke Earth Ke Sath Collision Ke 72% Chances Hain. Ye Exercise Near Earth Objects (NEO) Par Risk Ko Samjhne Aur Kam Karne Ke Liye Ongoing Efforts Ka Ek Part Thi.
NASA Ki Planetary Defence Cooperation Office Ne Federal Emergency Management Agency Aur U. U.S Department Of State Office Of Space Affairs Ke Sath Partnership Me Is Mission Ko Anjaam Diya. Exercise Ke Dauran Ek Scenario Samne Aaya Ki Ek Asteroid, Jo Ki Pahle Suraj Ke Around Iska Orbit Hone Ki Wajah Se Detect Nhi Ho Paya Tha, Earth Ke Sath Collision Ki Kagaar Pe Hai. Ye Exercise Kewal Routine Drill Hi Nahi Tha Balki NASA Ki Planetary Defense Ko Lekar Unki Commitment Ko Bhi Show Karta Hai.
Agar NASA Ki Reports Ko Mana Jaye To Ye Asteroid Agle 14 Salon Me Dharti Se Takra Sakta Hai. Is Asteroid Ki Size Lagbhag Ek Planet Ke Barabar Mani Ja Rahi Hai. NASA Ne Bataya Hai Ki Is Exercise Ke Several Scenarios Me Generated Risks Aur Reaction Ke Options Aur Helps Ke Baare Me Crucial Informations Hath Lagi Hain. Planetary Defense Officer Lindley Johnson Ne Kaha Hai Ki Asteroid Hi Ek Aisi Naturall Disaster Hai Jiske Liye Samay Se Pahle Prediction Bhi Ki Ja Sakti Hai Aur Usko Avoid Karne Ya Usse Bachne Ke Liye Technology Ka Use Kiya Ja Sakta Hai.
Is Report Me Ye Bhi Bataya Gaya Hai Ki Earth Par Is Problem Se Nipatne Ke Liye Enough Technology Maujood Nahi Hai. Agar NASA Ki Manen To Ye Asteroid 12 July 2038 Me Din Ke 2 Bajkar 35 Minutes Par Earth Se Takra Sakta Hai
Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin