Yoga se hoga ye to suna hi hoga. Jin logo ko raat me neend nahi aati ya vo insomniac hai. Then, kuch yoga asanas aapki help karsakte hai. Aapko acchi aur gehri neend laane me ye madat karega. Yoga ke bahut saare benefit hai agar ise daily routine me add kare to. Daily yoga karne ke results aapko surprise karsakte hai. Aap khud hi hone waale changes ko feel karenge.
Yoga Asanas Neend Ke Liye
1.Viprita karani Asana

- Iss Yoga Asana ko karne ke liye Yoga matt par aaram se laid down hojaaye.
- Ab apne hands ko straight Zameen par rakhe aur apne legs ko upper direction me uthana start kare.
- Apne legs ko itni height par uthaye jisse ki 90degree ka angle ban, Jaye.
- Legs ke sath hips ko upper direction me utha kar neeche pillow rakh le.
- Ab iss position me 5 minutes tak hold kare.
2. Hasta padasana

- Iss Yoga pose ko daily karne se body strech and flexible hoti hai.
- Jisse body me blood circulation increase hota hai.
- Nervous system ko theek hone aur back ache se ye yoga pose relief pahuchata hai.
3. Balasana

- Iss asana ko Child Pose bhi kehte hai.
- Iss Yoga pose ko karne se bhi back pain me relief milta hai aur nervous system ko bhi strong karta hai.
- Jiski wajah se neend na aane ki problem khatam ho jaati hai.
4. Baddha Konasana

- Iss Yoga pose ko Butterfly Yoga Pose bhi kehte hai.
- Continuously khade rehne ki wajah se hone waale pain ko khatam karne me ye Yoga Pose help karta hai.
- Iss Yoga Pose ko karne se inner thigh, knee pain, legs ke joint pain se relief milta hai. Jiski wajah se Neend acchi aati hai.
Ye 4 yoga asanas aise hai jo bahut hi easy hai for beginners also. Patience ke saath inko apne life routine me add kariye aur acchi neend lijiye.
[starbox Id=kajal]
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe & share kare apne friend circle me. Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare hame Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin par