PM Narendra Modi India ki current COVID situation ko dekh kar aaj phir India ke janta ko inform karne live aaye the. Lockdown sabse last option rahega aisa PM Narendra Modi ka kehna tha.
Bach Gaye Bhai.
Jab Modiji ne 8:30 ko live aane ka declare kiya, toh sabhi logo ko yehi laga ki bhai aaj toh lag gayi aree bhai lockdown lag gayi, puri baat toh padho yaar!
PM Narendra Modi Ka Kya Kehna Hai?
PM Narendra Modi ka saare state goverments se yehi anuroodh hai ki apne apne states mein lockdown lagane ko last option rakhe. Aur Containment zones and Micro Containment zones pe zyada focus karein.
Unka yeh bhi kehna tha ki 2020 ki baat hi kuch aur thi tab india ke pass medicines aur specific treatment nahi hua karta tha. Aur testing bhi uss time par kaafi limited tha. But 2021 mein situation alag hai.
Migrant workers ke barein mein PM Narendra Modi ne saare state goverments se request kiya hai ki saare migrants ko manaye aur unhe confidence dilaye ki unhe jald se jald vaccinate kiya jayega.
Tareeef Pe Tareef Tareef Pe Tareef!
Pharma Industry ko appreciate karte hue unhone kaha ki unke team efforts ke wajah se aaj ke din mein humein two Made In India vaccines praapt hue hai. Aur yeh dilasa dilaya ki government bed capacity increase karne ki puri koshish kar rahi hai. Aur situation ko jald se jald improve karne ki koshish jaari hai.
PM Narendra Modi ne doctors, Nurses, Paramedical staff ka bhi appreciate kiya aur kaha ki unhone apni life risk karke humari care aur sewa ki hai. Police aur security personnel ko bhi congratulate kiya tha.
Waah Modiji Waah!
Modiji jo last week pura west Bengal ke election campaign mein the unhe country ki buri condition dekh kar immediately janta ko ashwasan dene ko ye live par aana pada. Aek side who khud public mein rallies rakh rahe hai aur dusri jagah logo ashwasan de rahe hai ki sab theek ho jayega.
PM Narendra Modi ke according situation thodi improve ho rahi thi but second wave aek storm ki tarah aaya aur sab kuch udaa le gaya! Ab filhaal toh koi nation wide lockdown nahi hua hai par aap public mein jaye toh mask aur social distancing ka palan jarur kijieyega.
PM Narendra Modi Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin