Mental Stability, Physical Fitness, Body Posture Ya Intellectual Concentration, In Sabke Liye Agar Ek Hi Precaution Hai To Wo Hai ‘Yoga’. Tabhi To Yoga Guru Ramdev Kahte Hain Ki “Yoga Se Hoga.” Aaj Poore World Me International Yoga Day Ka 10th Edition Manaya Ja Raha Hai. Yoga Day Ke Liye Ek Special Date Decide Karne Ka Kaam United Nations Ne Kiye Tha. 11 December 2014 Ko Yog Day Ke Liye Universal Appeal Ko Dekhte Huye UN Ne Resolution 69/131 Ke Dwara 21 June Ko Yoga Day Ke Roop Me Declare Kiya. Har Saal Ye Ancient Physical, Mental & Spiritual Practice, Jiska Origin Bharat Me Hua Tha, Ek Theme Ke Sath Celebrate Ki Jati Hai Aur Is Saal Ki Theme Hai, “Yoga For Self And Society.”

Yoga Day

Yoga Individual Aur Society Dono Ke Liye Bahut Sare Benefits Offer Karta Hai. Baat Karen Personal Level Par To Yoga Physical Health Enhance Karta Hai Jisme Flexibility, Strength Aur Balance Sab Kuch Shamil Hai. Wahin Anxiety, Stress Aur Depression Ko Kam Karke Mental Well Being Ko Bhi Promote Karta Hai. Regular Yoga Practice Karne Se Self-Awareness, Mindfulness Aur Inner Peace Ki Prapti Hoti Hai Jo Ki Ek Harmonious Life Ke Liye Bahut Zaroori Hai.

Baat Ki Jaye Society Ke Liye To Yoga Health Culture Aur Wellness Ko Encourage Karta Hai. Ye Logon Ko Sath Lane Ka Kaam Karta Hai Aur Unme Sharing Ki Bhavna Ko Promote Karta Hai. Group Yoga Session Social Bond Aur Mutual Support Ko Bhi Grow Karta Hai. Yoga Ke Principles Jaise –
Compassion, Non-Violence Aur Sabke Liye Respect Ethical Behaviour Aur Social Harmony Ko Inspire Karta Hai.

Yoga Day

Internationally Yoga Ke Liye Ek Special Date Announce Karne Ka Proposal Bharat Ne Prime Minister Narendra Modi Ki Leadership Me Rakha Gaya Tha. Yoga Hamare Ancestors Ke Dwara Diya Gaya Ek Invaluable Gift Hai. Yah Hamare Mind Aur Body Ko Ek Sath Sochne Aur Action Lene Me Capable
Banata Hai. Yoga Kewal Ek Exercise Hi Nahi Hai Balki Ye Khud Ke, Duniya Ke Aur Nature Ke Sath Khulkar Milne Ka Ek Tareeka Hai. Yoga Ek Holistic Approach Hai Jo Hamari Health Aur Well Being Ke Liye Valuable Hai.

Yoga Day

Yoga Physically, Meentally Aur Emotionally Har Tarah Se Beneficial Hai. Har Kisi Ko Apni Life Me Yoga Ko Ek Daily Routine Ke Roop Me Include Karna Chahiye. Routine Ke Roop Me Ise Include Karne Se Ye Ek Aadat Me Badal Jata Hai. Yoga Strength, Flexibility Aur Relaxation Par Focus Karta Hai Jo Ki Ek Healthy Lifestyle Ke Liye Most Important Elements Hain. Isko Alawa Proper Nutrition Aur Enough Rest Yoga Ke Benefits Ko Aur Enhance Karte Hain.


Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

You May Also Like

Tenet | Christopher Nolan Ki ‘Tenet’ Amazon Prime Par Hue Release

John David Washington ke sath dete hue Robert Pattinson aur , Elizabeth Debicki, Dimple Kapadia, Kenneth Branagh, Aaron Taylor Johnson, Michael Caine and Clemence Poesy jaise diggaz milenge movie me.

Pushpa 2 Se Clash Ke Sath Ek Baar Fir Se Surkhiyon Me Vicky Kaushal Ki “Chhava”, Kya Film Ko Hoga Nuksan?

Uri, Sardar Udham Singh Aur Sam Bahadur Jaisi Real Life Based Films…

Kya Is Actor Ko Date Kar Rahi Hain Huma Qureshi? Sonakshi Ki Shadi Ki Tasviron Ne Khola Raaj

Director Mudassar Aziz Se Breakup Ke Baad Huma Qureshi Ka Naam Pichle…