Battle Royal game ki baat ho and PUBG Mobile ka naam na aae hai aisa ho hi nhi sakta. Currently PUBG apni 3rd anniversary celebrate karne ja raha hai. Bata de 2018 me PUBG mobile game ko Android aur IOS platforms par launch kiya gaya tha. Last year PUBG ne apni anniversary kaafi dhoom dhaam se celebrate kiya tha. And currently apni 3rd Anniversary ki tyaari me laga hua hai.
According to sources, PUBG Mobile Game apni 3rd anniversary par 1.3 Update release kar sakta hai. Jisme users ke lie new mode, arms, vehicle aur bhi kae saare features add on honge. And best part ye hai ki iss update ke sath hi PUBG Mobile ke Royal Pass 18 bhi gamers ko milega jo month end tak valid rahenge.
Aapko bata de agar aap Android user hai then aapko 640MB and agar IOS user hai to 1.55GB ki space chahiye hogi PUBG Mobile Patch 1.3 Update ke lie. Vo players jo PUBG Mobile Patch 1.3 ko 14th March se pehle update karenge unhe 3,000BP, 100 AG ke sath sath 3 din ke lie Cute Kitten – PAN bhi milega. Chaliye ham aapko batate hai ki PUBG Mobile 1.3 me aur kya kya mil sakta hai.
Also Read: India Me Jald Hi Elon Musk Ki Company Starlink Internet Broadband Services Karegi Provide
Hundred Rhythms Mode In PUBG Mobile Patch1.3
As per the reports of BGR, PUBG Mobile 1.3 me Hundred Rhythms users ko milenge jo 9th march se live hojaenge. Iss nae update me 3 special music armband skills ka option bhi milega, so that user apne skill ke according choose kar sake. Although ye itni easily nhi milega iske lie users ko inhe collect karna hoga and iss process ke through users apni skills ko improvise kar sakenge. Along with that gameplay ka experience bhi kaafi hatke hoga.
Gameplay
Spwan Island me players ki skills dikhengi jo bhi vo choose karenge. Match start hone se pehle hi players ko Guardian Armband, Recon Armband, ya Camouflage Armband skill ko select karna hoga. Nae update me music experience bhi kaafi acha rahne vala hai as in players ko Electronic music bhi milega during the game period. PUBG ne apne MAP ko bhi kaafi improvise kiya hai. Har Friday, Saturday aur Sunday ko players Power Armor ka lutf utha sakenge.
Also Read: The 2 Types of Authority All Businesses Need for Marketing Success
New Arm: Mosin-Nagant Sniper Rifle
New Update me players ko Mosin-Nagant me 7.62mm bolt action snipper rifle bhi milegi jo Kar98K ke barabar hi strong hai. Bata de ye rifle kaafi fast aur strong hogi and iski damage drop bhi kaafi kam hogi. Iske alwa bhi iski khasiyat ye rahegi ki ye dur se enemies ko ghayal kar sakti hai.
New Vehicle – Motor Glider
Erangel aur Miramer me players ko Motor Gliders bhi milenge, jo ki iss update me diye ja re hai. Motor Glider ki khas baat ye hogi ki ispe do log baith sakenge. Front me iski driver seat hogi aur back me passenger seat.
India me although PUBG Mobile game ban hogya tha September 2020 me. And currently bhi ban hi hai. That’s why ye update india me google play aur App store par bhi nhi milega. Krafton and Indian goverment ki abhi baat cheet chal rhi hai iss PUBG Mobile game ko india me vapis laane ke lie. Baaki dekhte hai kya hota hai.
Also Read: YouTube – A Must to be used Platform for Social Marketing
Paisa Kamae ab telegram par bhi available hai. So bina kisi deri ke hamara channel join kare also hame Facebook | Instagram | Twitter aur LinkedIn par follow karna na bhule.