PUBG Mobile, Users ke beech pehle se hi Popular hai and Day by Day iski Popularity badti jaa rahi hai. Sensor Tower ki Report me bhi kaha Gaya hai ki ‘Global Pandemic’ ki Condition me iss Game ki Popularity me Kafi Increasement dekha gaya hai. But, Gaming ke chakkar me koi Lakho Rupay kharch kar sakta hai, ye ek bahut hi Shocking News hai. But Recently aisa hi ek mamla samne aaya hai. Jisme ek 17-year-Old Teenage Boy ne PUBG Mobile khelte Time. Apne Parents ke Account se 16 Lakh Rupay Kharch kar diye aur unhe pata bhi nahi chala.
Game Upgrade Karne Ke Liye Kar Diye 16 Lakh Kharch.
Tribune India ki Report me information di gayi hai. Ki Punjab ke ek 17 saal ke Ladke ne PUBG Mobile Game khelte huye. Apne Parents ke Account se 16 Lakh Rupay kharch kar diye hai. Minor ne inn Paiso ko PUBG Mobile Account Upgrade karne. And during the Gaming Shopping karne ke liye kharch kiya hai. Iss Teener ne inn Paiso se apne aur apne Partners ke liye ‘In-app’ Shopping ki thi. But, inn Paiso ke kharch hone ki Bhanak uske Parents ko nahi hui. Unhe Bank Statement dekhne ke baad ye Shock laga.
Parents Ne Bachaa Kar Rakhe The Paise.
Report me bataya Gaya hai ki iss Teener ke Father ek Government Worker hai. And unhone Medical Checkup karbane ke liye Paise collect kiye the, jo ki unki poori Life ki Earning thi. Report me bataya Gaya hai ki ye Teener Boy apni Mother ke sath rehta tha. And Father kahi Out of City Posted the. Aise me Mother ke Phone me Bank ke Statement se Related Messages aate the. Teener ne 16 Lakh kharch karne ke baad Mother ke Mobile se unn Messages ko Delete kar diya tha. Parents ko laga ki unka baccha Lockdown ki wajah se Smartphone ka use “Online Studies” ke liye kar Raha hai.
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe & share kare apne friend circle me. Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare hame Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin par