1)Bhangarh fort , Rajasthan | Rahasmaya Ilake

Alwar ke Bhangarh fort India ki haunted places mein se ek hai. Is Rahasmaya Ilake ko dekhne international tourists tak aate Hain. Is fort mein keval day time mein hi aana allowed Hai at nominal fee. Aur after sunset entry prohibited hai. Aisa maana jata hai ki vahan par sunset ke baad Jana Ek Shaap Ki tarah hai agar ek baar koi vahan chala gaya to wapas aane ke bahut kam chance hote hai. Koi bhi vahan per Apne hi risk par Jayega .Hum jaipur se Alwar 2 hour ki car drive mein pooch sakte hai . Rajasthan ka bhangar fort door door tak mashoor hai.Rahasmaya Ilake

Bhangarh Fort Rajasthan - One of the most haunted ghost towns in India.
Bhangarh fort , Rajasthan

2)Kamakhya Devi Temple , Assam | Rahasmaya Ilake

India mein total 108 shaktipeeth hai . Shakti peeth Hindu peoples ke liye ek worship ki jagah Hai Jahan par goddessKali ka nivaas hota Hai. Assam ka kamakhya temple bhi un shaktipeeth mein se hi ek hai but wo ek ordinary shaktipeeth nhin hai.

Wo ek mahashaktipeeth hai aur ye maana jaata hai goddess irked ke body parts wahan hai. Ye maana jaata hai yhi par goddess ke yoni aur genital fall hue the . Kuch believers ka ye maana hai ki ye place three days mentrual cycle experience karti hai aur ye bhi kaha jaata hai saal ke us mahine mein temple ke paas behti Brahmaputra river ka water red ho jaata hai .Rahasmaya Ilake

Coronavirus Pandemic: Ambubachi Mela at Assam's Kamakhya Temple cancelled |  DD News
Kamakhya Devi Temple , Assam

3) Adams bridge | Rahasmaya Ilake

Ramayana mein humne padha hai ki Ravan ne Sita ji ko kidnap kar liya tha. Aur lord Ram ne Sita ji ko wapas laane ke liye southernmost tip of India se Sri Lanka tak Ek bridge banaya tha. Jisko Ram Setu ke naam se Jana jata hai. Aur kuchh geologist ka kehna hai ki Ram Setu naturally built hua tha aur woh ek limestone ki chain hai lekin woh is chij ko aaj tak proof nahin kar paye jis Karan se ye place ek tarah se Aaj Tak mystery Bani Hui Hai.Rahasmaya Ilake

Ram Setu was man made and it does exist: Check images here - Oneindia News

4)The village of twins Kerala | Rahasmaya Ilake

Kodhini village 35 kilometres door hai Calicut se aur ye around 2,000 families ka village hai. Aur ye families large number of twin births ke liye famous hai . First twin birth yhan 1949 mein hua tha aur uske baad se ye number lgataae badhta hi jaa rha hai . Currently , village recorded 200 twins. Is place ne doctors aur scientists ke man mein curiosity ka janam diya ki aakhirkar aisa kis wjah se ho raha hai .

Aur unka maana hai ki ye chemical composition of water or women’s ki diet ki wjah se hai . Par koi paakaa proof abhi tak nhi mila .Rahasmaya Ilake

HISTORY TV18 | OMG! India's First | The Twin Town

Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin

You May Also Like

Darjiling :The Qween Of Hills

Hey Guys ,Kya Apko Ghumna Pasand Hai Agar Ha To Aj Main…

Karl Rock Ke 5 Videos Joh Prove Karta Hai How Much He Loves India!

Checkout Karl Rock’s videos which shows how much he loves India!

Shimla Ka Naya Plan: Traffic Ko Control Karne Ke Liye

Shimla police ne ek naya plan banaya hai jisme entry points par 5-10 minute ka halt hai taaki traffic smooth rahe.

Suhana Safar Aur Ye Mausam Hasin: Indian Photogenic Destinations

India ke photogenic destinations ka suhana safar and hasin mausam tourist ko…