in

Rajiv Gandhi Ke Baare Me Kya Aap Ye Baate Jaante Hai?

21st May 1991, LTTE cadres ne suicide bombing attack ke through Rajiv Gandhi ki hatya kar di. That time vo Tamil Nadu ke Sriperumbudur Loksabha seat se congress candidate ki campaigning kar rhe the.

1984 me India ke 7th Prime Minister ke roop me Rajiv ne kursi sambhali. And India ke ab tak ke youngest Prime Minister bane.1984 me Indira Gandhi ke hatya ke baad unhone Prime Minister office ka Jimma Liya. Mahaz 40 saal ki age me unhone 1984 se 1989 tak apna karybhar Shambhala.

Born In Bombay
Rajiv gandhi with Pt. Nehru | World's First Hinglish Magazine - Rv Talks
Bachpan me Apne Nana Pt. Nehru aur Maa Indira Gandhi ke Sath Rajiv & Sanjay Gandhi

Rajiv Gandhi ka janm 20 August 1944 ko Mumbai ( that time bombay ) me hua tha. Ve Feroz Gandhi and Indira Gandhi ke bade ladke bhi the.

Tamil Nadu ke Sriperumbudur seat ke congress candidate ki campaigning karne ke lie Rajiv Tamil Nadu gae the. But kise pata tha ki vo unki life ka last campaign hoga. Liberation Tigers of Tamil Eelam (LTTE) cadres ne suicide bombing karke 21 May 1991 me Rajiv Gandhi ka murder kar diya.

Air-Planes Ke Lie The Pagal
Rajiv | World's Frist Hinglish Magazine - Rv Talks
Public Meeting ke dauran Rajiv

Rajiv Gandhi apne bachpan se hi politics se duri banate rahe hai. And Unhone ne apne Nana Pt. Nehru and Maa Indira Gandhi ke office ko join Karna munasib nahi samjha. Because Vo kaafi jyda fascinate the planes ko udaane ke lie. That’s why vo Delhi chale gae training ke lie. 1970 me unhone training complete ki. and Almost ek decade poora Air India me service ki. 1980 me chote Bhai Sanjay ki death ke Chalte unhe politics me utarna pada.

Music Ka Bhi Tha Shauk
Sanjay Gandhi  | World's First Hinglish Magazine and Portal - Rv Talks
Rajiv & Sanjay Gandhi Apni Maa Indira Gandhi Ke Saath

Kuch reports ki maane to Rajiv Gandhi ko Music me kaafi jyda interest tha. And vo apne free time me music sunna hi pasand karte the. unko Indian Classical, moder and yaha tak new age songs bhi kaafi bhaate the.

Photography Me Bhi Thi Maharat
Sanjay Gandhi  | World's First Hinglish Magazine and Portal - Rv Talks
Aam Sabha ke Dauran Rajiv

Rajiv Gandhi photography me bhi maahir the. And iska khulasa tab hua jab unki wife Sonia Gandhi ne Book Lihki. Book ka Naam tha “Rajiv’s World: Photographs by Rajiv Gandhi,” jo unki death ke bad likhi gae. Is book me 4 Decades ki clicked photographs hai.

Anti-terrorism day21st May
Apni Wife Sonia Gandhi ke Sath Rajiv

Rajiv Gandhi ki Death Anniversary ke taur par, har saal 21 may ko poore desh me Anti-terrorism day ke roop mein manaya jata hai.

Terrorism ke against ladne vaali ladai ki importance ko btane ke lie ye din manaya jaata hai.

Desh se Voilence and terrorism ko dur karna hi is din ko manane ka main objective hai. Ye din logo ko humanity, peace and harmony ka message deta hai. And unhe Anti-Terrisiom activities ko leke aware bhi kartaa hai.

Also Read: Latest Stories from on EntertainmentLifestyle and Currently In Trend

Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook Instagram Twitter Linkedin

 | Website

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

What do you think?

Written by Ratnakar Upadhayay

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

Haldi Ghati Ki Ladai, Haldi Ghati Me Hi Nahi Hue Thi

Arabic Mehendi Designs Kar Rahe Trend: Eid-ul-Fitr 2020