Rent issues and Covid19
First lockdown mein aapko yaad hai migrant workers ko sabse badi kya problem face karni padi????Chaliye hum btate hai:
Job loss, income loss, food loss, education loss, etc
Jaise hi ye corona ki second wave aai apne saath aur problems bhi laai.Aur sabse badi problem hai rent issues .
Biggest Problem : Rent issues
Lekin ham log sochte Hain Ki migrant workers ke liye Sabse badi problem food ki hogi. Isliye jab bhi government koi policies bnati hai to related to food se related hi bnati hai .Kyunki Jaise hi lockdown Laga logon ki job Chali gai aur saath saath unki economy ka sadhan bhi. Lekin ham ek baat bhul jaate Hain Ki actually mein kahin par rahana bhi bahut jaruri hota Hai.#Rent issues

Migrate From Urban To Rural Areas | Rent issues
Agar ham baat Karein migrant workers ki to yeh kaam karne ke liye Apne gaon se aaye hue hote hain aur inke pass itni capacity nahin Hoti ki wo apna khud ka Ek Ghar khareed sakein. Agar ham generally sochkar dekhi to Abhi jo le lockdown Laga Hai isme migrant workers ko kitni kathinayio ka saamna karna pad rha hoga. Kyunki unke pass hardly 6 to 10 thousand ki hi savings hoti hogi.Aur us savings se khane ka kam 2 to 3 months tak chal sakta hai. #Rent issues
Government Steps Regarding Rent issues
Lekin jo ye rent ka issue Hai Is par itni attention nahin di ja rahi hai. 2020 mein jo 5 month ka lock down Laga tha usse ye data bahar aaya hai ki migrant workers ka jo 40% kharcha tha wo rent ke upar tha. Aapne kabhi socha Ki kyon migrant workers lockdown hone par cities ko chhodkar apne apne gaon mein loot jaate Hain ??
Iska sabse bada reason Hai rent issues. On March 29 2020 union ministry of Home affairs ne kaha tha ki koi migrant workers ko force nahi karenge rent dene ke liye. lekin hum sabhi jante Hain Ki yeh sab kahin follow nahin hua.#Rent issues

Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin