Rohit Sardana ji Aaj Tak ke anchor aur ek fearless journalist the jinki Friday yani ki 30th April, 2021 me maut ho gayi. Unki age sirf 41 years thi. Unko Prime Minister Narendra Modi ne di shradhanjali.
Prime Minister Narendra Modi ne tweet karte hue kaha ki, “Rohit Sardana hume bahut jaldi chod ke chale gaye. Vo ek bahut hi energetic, passionate the India ki progress ke liye aur vo ek bahut hi kind hearted soul the Rohit Sardana ko bahut log yaad karege. Unki iss tarah ki achanak maut ki khabar se pure media me dukh ka mahol chaya hua hai. Mein inke family, friends aur admirers ko condolences hu. Om Shanti.”
Union Home Minister Amit Shah ne bhi jataya dukh Rohit Sardana ki hui iss achanak maut pe. Amit Shah ne tweet pe kaha ki, Shri Rohit Sardana Ji ki maut se unko behad dukh ho raha hai. Unme iss nation ne ek brave journalist kho diya ek aisa journalist jo humesha se unbias ke liye stand lete rahe hai aur unhone humesha se fair reporting jo right news hai vo audience tak phochai hai. Bhagwan unki family ko strength de iss loss se ubharne ke liye. Mera deepest condolence hai unki family aur followers ke liye.”
Defence Minister Rajnath Singh ji ne kaha ki, “Me shocked hu iss news se ki Rohit Sardana ki maut ho gayi hai, ek aisa journalist jisne khudko Hindi media world me bahut hi kam time me establish kiya. Vo ek bahut hi talented aur impactful journalist the. Unki death se media world ko bahut hi bada damage hua hai. Unke heartbroken family ko mera deepest condolences. Peace!”
Rohit Sardana Ji Ki Death Ka Karan Hai Covid-19
Rohit Sardana ji unki wife aur two daughters aur unke parents ki vajhase survive kar rahe the. Ek 41 years old ka AAJ Tak ke anchor recently covid-19 positive paye gaye the lekin vo bahut active the aur recover ho rahe the. Rohit Sardana humesha apne colleagues ko encourage karte rhete the kaam karne ke liye or life me aage bhadne ke liye aur humesha Covid-related posts dalte rhete the twitter pe aur unhone last post Thursday night yani ki 29 April, 2021 ko hi dali thi.
Delhi congress ne bhi apni grief share karte hue tweet kiya, “Deepest Condolences senior journalist Shri Rohit Sardana ji ko jo hume chhod ke chale gaye. Hum bhagwan se pray karte hai ki unki soul ko peace de aur unki family ko strength de iss muskil samay se ladne ki.”
“ Behad Shocking aur dukh dayi khabar hai ki Aaj Tak ke renowned anchor Rohit Sardana ji iss tarah se achanak mrityu ho gayi. Me bhagwan se pray karti hu ki vo unki family aur friends ko strength de iss loss ko bear karne ki. Unki soul ko peace mile aisa me pray karti hu, “RJD ki leader Tejashwi Yadav tweet karti hai.
Rohit Sardana Ki Death News Se Hue Shock Former Indian Cricketer Virendra Sehwag Union Minister Jitendra Singh Aur Civil Aviation Minister Hardeep Singh Puri.
Former Indian cricketer Virendra Sehwag likhte hai ki, “Me speechless ho gaya hu. Bhagwan unke kids aur family ko strength de. Rohit Sardana. Om Shanti.”
“Me bahut hi shocked or sad hu iss heartbreaking news se ki Rohit Sardana ji ab humare bich nahi rahe. Vo ek fearless aur straightforward journalist the. Bhagwan unki soul ko peace de. Rohit Sardana,” Union Minister Kiren Rijiju likhte hai.
Union Minister Jitendra Singh ji kehte hai ki, “Vo ek promising journalistic career ke cut short pe the. Unka best toh abhi ana baki tha. Young Rohit Sardana, jo Thursday ko hi tweet COVID victims ke liye help arrange kar rahe the, aur khud hi iske lapate me aa gaye.”
Civil aviation minister Hardeep Singh Puri ji ne Rohit Sardana ji ke amplifying messages jo logo ko Covid se fight karne ke liye help kar rahe the, uske bare bat ki. “ Vo retweet kar ke logo ki help ke liye appeal kar rahe the aur dusre hi din khud chal basse. Bahut hi shock or sad lag raha hai ki itne young aur spirited journalist Shri Rohit Sardana ji ab humare bich nahi rahe. Unke family aur friends ko condolences,” Puri ji ne kaha.
Rohit Sardana | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin