Ex-Pakistani cricketer Shahid Afridi corona positive pae gae hai. Ye baat khud Afridi ne apne official Twitter handle ke through sabko batae hai. Ex Pakistani Cricketer Shahid Afridi apne foundation ke sath milkar logo ki help kar rahe the. And ab Situation aisi hai ki vo khud corona positive pae gae. Shahid Afridi ne ek aur record isi ke sath apne Nam kar Liya. Vo Coronavirus se infected hone vaale pahale High Profile cricket ban gae. However, Shahid Afridi ne cricket ke maidan me kae record banae. Par vo cricket ke maidan ke bahar bhi record banaenge ye kisi ne Socha nahi tha. Jokes apart!
Afridi Ne Fans Ko Twitter Se Di Covid-19 Positive Hone Ki Khabar
Unhone twitter par tweet karte hue likha, “Mai Thursday se hi unwell feel kar Raha hu. Mere poori body puri tarike se dard kar rahi thi. Mera test hua and unfortunately mai positive paya Gaya. Speed recovery ke lie pray kare… Inshallah..”
I’ve been feeling unwell since Thursday; my body had been aching badly. I’ve been tested and unfortunately I’m covid positive. Need prayers for a speedy recovery, InshaAllah #COVID19 #pandemic #hopenotout #staysafe #stayhome
— Shahid Afridi (@SAfridiOfficial) June 13, 2020
Controversy King Ban Gae
Aapko bata de Shahid Afridi apne foundation ke sath milkar is amid lockdown ke daur me needy logo ki help kar rahe the. However, is duration me vo kaafi baad controversies me bhi fase. Unhone ek controversial statement dediya tha Indian Prime Minister Narendra Modi and Kashmir ko lekar. Phir kya tha aav Dekha na taav har koe unpe kud gya. Sabse jyda bavala tab hua jab Social Media sensation Vinay Phatak aka Hindustani Bhau ne unko le kar video bana diya.
Afridi ne PM Modi and India ke aggainst ulti sidhi baate boli. Jiske chalte unhe India ke sath sath pakistan ke bhi logo se sunna pada. 1998 se 2018 ke beech 27 test, 398 ODI and 99 T20 international matches khele hai Afridi ne Pakistan ke lie.
Pakistan Me Corona
Pakistan me ab tak 1lakh 32hazar se jyda log corona positive mile hai. And lagbhag 2500 logo ne apni jaan bhi gava di hai is khatarnak virus ke chalte. Pakistan me lockdown bhi lagaya gaya tha ise control karne ke lie but use bhi kuch din baad hata diya gaya.
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin