in

Shakuntala Devi, Amazon Pe Ho Rahi release

“Amazon Prime Video” pe 7 Indian movies release hone vali hai. Jisme se ek Amitabh Bachchan and Ayushman Khurana starer “Gulabo Sitabo” already release hogae hai. 6 movies aur hai jinke Naam bhi reveal ho gae hai. Jo is platform pe release hone ko ready hai. Jisme Vidhya Balan Starer “Shakuntala Devi” bhi included hai. Is movie me Vidya “Human-Computer” and “Mental Calculator” ke Naam se famous Shakuntala Devi ka Role nibhaya hai. Vidya ke alawa Sanya Malhotra, Amit Sadh and Jisu Sengupta ka bhi important role hai. Movie ki release ko leke khud vidya ne khud Instagram pe post ke through sabko inform Kiya tha.

“Ye btate hue kaafi khushi ho rahi hai ki aap log bahut jald ‘Shakuntala Devi’ ko Amazon Prime Video pe dekh sakenge. Apne saare Love ones ke saath. Ye soch kar badi khusi ho rahi hai ki aise ajeeb time me bhi ham aapko entertain kar paa rahe hai;

Release date ko leke amazon ki Taraf se koi bhi information nahi aae hai. And Bus “Coming Soon” ki baat chal rahi hai.

Kahaani Shakuntala Devi Ki

Shakuntala ke father circus me Trapies Artist the. Ek baar vo Shakuntala ko cards ki trick bta rahe the then unhe realise hua ki unki beti numbers ko kaafi tezi se memorize kar leti hai. That time Shakuntala ki age lag bhag 3 saal ki thi. Then phir kya tha papa ne unke circus ki job ko chor diya and apni beti ke calculations ka roadshow karne lage. 6 saal ki age me hi Shakuntala ne College level ki Mathematics solve karna start kar diya. 1964 me 16 saal ki age me vo apne papa ke saath london chali gae. Thereafter poori duniya me kae shows kiye. Vo bade se bade numbers vaale sawaalo ke jawab seonds me dedeti thi. And vo bhi sirf dimag me calculate kar ke.

1982 me ek show ke chalte unka naam Guinness Book of World Records me darz hogya. Iske alawa unhone kae novels, numbers book, and cooking book bhi likhi. But numbers ke alawa vo jis chiiz ke lie popular hue. Vo thi unki book jo unhone homosexuality pe likhi thi.

Apne Starting days me Shakuntala Devi. Shakuntala ke 84th Birthday par google ne doodle bana ke tribute diya unhe. ( World's First hinglish Magazine and portal )
Apne Starting days me Shakuntala Devi. Shakuntala ke 84th Birthday par google ne doodle bana ke tribute diya unhe.
Personal Connection Homosexuality Se

Personal reasons ke chalte Shakuntala ne is book ko likha. 1944 me london jaane ke baad vo 1960 ke aas pas India vaapis aae. And Paritosh Banerjee se unki shadi hue. But kuch saalo baad hi inhone Divorce leliya. Because Shakuntala ke Husband Homosexual the. Thereafter is chiz ko aur ache se janne ke lie unhone ne 1977 me “World of homosexuals” naam se ek book likhi. Isme unhone kuch Homosexual couples ka interview and Logo ki rai ko Shamil kiya. But us daur me to ise crime maana jaata tha. Ye india ki first study maani jaati hai Homosexuality par. Because us time me gossip karne ko ghor tabu maana jaata tha. But Shakuntala itne pe bhi na ruki.

Shakuntala Devi ne Foreigns me  kae research papers and books bhi likhe hai. ( World's First hinglish Magazine and portal )
Shakuntala Devi ne Foreigns me kae research papers and books bhi likhe hai.
Indira Ke khilaf Lada Election

Indira Gandhi ke khilaf 1980 me South Bombay and Telangana ke Medak Locksabha seat se election bhi lada. Vo manti thi ki Indira medak ke logo ko bewakoof bana rahi hai, unhi logo ko bachaane ke lie vo election me khadi hue. Although us election me vo 9th place pe rahi. And then apna politics ka career khatm kake vapis Banglore aagai. Vo astrology me bhi kaafi interest rakhti thi. 2013 me unhe achanak se saans lene me dikkat shuru hue then unhe Bengaluru ke ek hospital me admit karvaya gaya. Uske kuch hafto baad unhe heart attack aur kidney failure ki problem hue. Then 21 April 2013 ko hospital me hi unhone antim saans li. That time vo 83 years ki thi.

Also Read: Latest Stories from on EntertainmentLifestyle and Currently In Trend

Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook Instagram Twitter Linkedin

[starbox id=reema]

What do you think?

Written by Ratnakar Upadhayay

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

Aarya Web Series Review: Susmita Sen KI Shandar Comeback

Surya Grahan 2020 And Saal Ka Sabse Bada Din June 21