Skin Care: As a teenager and as a youth hume sab hi log skin ko lekar advice dete hai. But yeh koi nahi batata hai ki kya aur kaise kare? Ye toh woh 3 Idiots film ‘Question jab pata tha yaaro answer ka kuch pata nahi aur answer jab mila tha sala question kya tha pata nahi!”

Skin Care

Iss age mein jab humare body mein poore hormones ka locha chal raha hota hai tab humari skin bhi bohot affect hoti hai. Dust, pollution sabhi ke wajah se humari skin roz ke roz damage hoti hai. Uss damage ko repair karne ke liye skin care bohot zaruri hai! Aur aise mein bua chachi ka bataya hua koi gharelu nuska apply kiya face pe toh, skin glow karne ke bajay skin ki dhajiya bhi udd sakti hai.

So Here Are Some Skin Care Mistakes That We Should Avoid For A Better Looking Skin:

Scrubbing Too Hard.

Skin Care

Aree bhai apna hi face hai aur aap face wash rahe ho kapde thodi dhoo raheho jo aapko pura dum lagana hai! Scrubbing skin ke dead cells ko remove karne mein bohot help karta hai. But dhobi kapde dhota hai waise agar aap apne face ko rub karoge toh dead cells ke saath saath aapki acchi skin bhi nikal jayegi! Aur agar over scrubbing karein toh irritation aur redness bhi experience kar sakte hai.

Uska hack yeh hai ki 2 Rs ke coin jitna aapko product lena hai aur dheere dheere face ko exfoliate karna hai. This is the right way to exfoliate your skin.

Next time aap scrub purchase karein toh ensure the following ingredients are present in your scrub:

  1. Activated Charcoal.
  2. Neem And Tea Tree Oil.
  3. AHA And BHA.

-Not Moisturizing.

Skin Care

Hum apna face wash toh yaad karke kar lete hai but an important part of skin care ko chod dete hai. Woh hai moisturizing your skin. People with acne prone skin samajte hai ki moisturizing se unke acne problems increase ho jayenge. But yeh galat hai. Aek secret reveal karein? Chalo bata hi dete hai. Moisturizing se skin younger looking dikhti hai. So don’t forget to moisturize your face!

-Avoiding Sunscreen.

Skin Care

Men don’t understand the power of sunscreen. Sunscreen apne skin care se add karne se aapko skin cancer se toh protect karta hi hai but dark spots jaise issues se bhi protect karta hai! Suncreen hume sun ke UVA and UVB rays se protect karta hai. So next time you step out bhule nahi pea size amount of sunscreen apne face aur neck pe lagana.

Follow these 3 basic skin care tips for a healthy and glowing skin.  


Skin Care | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook InstagramLinkedin

You May Also Like

Bach Gaya RRR Ka Record, Prabhas India Ke Sabse Bade Superstar, Last 5 Film on Ki Opening Day Collection Hai Is Baat Ki Gawahi.

Kal Theatres Me Release Hui Film “Kalki 2898 AD” Apne Opening Day…

First 6 Months of Marriage Tips: Avoid These 8 Common Mistakes

The first 6 months of marriage tips are essential for any couple…

Tenet | Christopher Nolan Ki ‘Tenet’ Amazon Prime Par Hue Release

John David Washington ke sath dete hue Robert Pattinson aur , Elizabeth Debicki, Dimple Kapadia, Kenneth Branagh, Aaron Taylor Johnson, Michael Caine and Clemence Poesy jaise diggaz milenge movie me.

Postpone Ho Gayi Varun Dhawan Ki “Baby John,” Ab Is Nayi Date Par Hogi Release, Kya Naye Look Me Kamal Kar Payenge Varun

Varun Dhawan Ki Much Awaited Film “Baby John” Ko Ab Officially Nayi…