Space: Kalpana Chawla ke baad Sirisha Bandla bani second Indian origin woman to go to space. Virgin Galactic ke billionaire founder Richard Branson ne space travel karne ka plan kiya hai unke company VSS Unity ke rocket plane mein. Richard Branson ki company Virgin Galactic and Amazon ke founder Jeff Bezoz ki company Blue Origin aisi do companies hai joh ki aise short trips karwate hai in order to boost space tourism.
Second Indian Woman To Go Space!
Indian origin Sirisha Bandla, Richard Branson ke saath jaane wale 5 jano mein se aek hai. Unko iss mission mein research ka role diya gaya hai.
Sirisha Bandla, Andhra Pradesh ke Guntur district mein paida hui thi. And she grew up in Houston, Texas.
Sirisha ke parents US citizens hai. Unhone 2015 mein Virgin Galactic ko join kiya tha and woh currently company ki Vice President of Government Affairs hai. Unhone apni aeronautical engineering Purdue University se kiya tha and later on unhone apni MBA Georgetown University se attain kari thi.
Indians Ke Liye Proud Moment!
Yeh flight ke baad Sirisha Bandla second Indian woman ho jayengi jinhone space mein apne kadam rakhe hai!
Indians iss baat par bohot hi proud hai and Sirisha ko social media platforms par congratulate kar rahe hai for her achievement….
Andhra Pradesh ke Chief Minister NN Chandrababu Naidu ne bhi Sirisha Bandla ko unke iss space achievement par congratulate kiya!
Space | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram| Linkedin