21 June kaafi khas din hai. Aaj Saal ka sabse bada Surya Grahan hai yaani ki Solar eclipse. And iske sath hi aaj saal ka sabse bada din bhi hai. Along with that aaj se mana jaata hai asli garmi ke din start hojaate hai. Yaani ki summers season aaj se start hogya. Aaj ki ek aur khas baat ye hai ki aaj June ka 3rd Sunday hai that’s why ham aaj Father’s day bhi celebrate kar rahe hai. Iske saath hi aaj ham International Yoga Day bhi mana rahe hai. Fathers Day ke baare me to hamne already aapko bata rakha hai chalie ab aaj batate hai Baaki 3 important chizo ke baare me.

Surya Grahan 2020

Surya grahan 2020

Surya Grahan aaj warshik Grahan hai. Jab chand prtihvee se bahut door hoga. And wah Suraj ko poori tarah se aapne me Sama ni paega. Because of that Suraj ka Bahari hissa dikheyga. Aaj Surya Grahan dikhna 9:15 am se 3:04 pm tak rahega. Asia, Africa, the Pacific, the Indian Ocean. And kuch part Europe aur Australia me.

Summer Season 2020 Google Doodle:

celebrates summer with an illustration of a flamingo in a hot air balloon
Saal Ka Sabse Bada Din June 21

Google ne Garmi ke surat ka agaaz kar diya hai uttaree golaarddh (Northern Hemisphere)me doodles ke sath. Iska chitran ek doop wale din me flamingo chidiya ko. Garam Hawa wale balloon ke ander dikhaya Gaya hai. Agar ham Mausam vibhag ke hisab se dekhe Then Garmi ka season June se shuru hoke August me khatam hota hai. Is season ke aane se Vasant season ka ending hoti hai?

Greeshm sankraanti (summer Solstice)June 21. Ko mark karta hai sabse bada din saal ka. English ka shabd ‘solstice’ ek Latin shabd solstitium se liya gaya hai. Solstitium Shabad ka matlab “suraj(sol) rukawat(stitium)” hai. Solstice shabad darshata hai ki kaise suraj ruk gaya hai asman me saal ke isdin me.

Is din, Jo log bhoomadhya Rekha(equator) ke Uttar me hai wo log. Sabse jyada amount Suraj ki Kiran ki ek din me milti hai. And jo log bhoomadhya Rekha(equator)se jitni door hai utni jyada Suraj ki Roshni unhe mileygi. Arctic circle poore 24 ghante ke liye Suraj ki Roshni ko paega.

What agar dusri taraf Dekha Jaye then dakshinee golardhar (Southern Hemisphere) me sabse Chota din hoga. Yaha pe, Officially ghandi ka season start ho Gaya hai. Is process ko ham sheetakaaleen ayanaant(winter solstice)kehte hai. Jitna Jyada Dakshin me Jayenge utna Chota din hota chala jayega. Antaarkatik vratt me, lagatar andhera rahega poore winter solstice me.

Father’s Day 2020

Father’s Day aaraha hai and hamne kuch points prepare kiye hai and kuch gifts bhi jinke through aap apne father ko special treatment de sakte hai.

Read More……………..

International Yoga Day

Yoga ek traditional method hai jo puraane zamaane ke sadhu-sant karte aa rahe hai. And aaj ke era me yoga daily life me bahut hi important hai. Because yoga bahut hi effective method hai to control your mind and body activity. And Yoga hamaare mind, body, consciousness and soul ko balance bhi karta hai. Yoga aapko ander se heal karta hai and it provides light to the darkest corner of your body. Agar ek word me yoga ko define karna ho to PEACE because yoga aapko apne aap se milaata hai jisse aap apni life ko balanced aur happy rakhte ho. Aaj hi ke din ham islie yoga day manaate hai.

Yoga and uske benefits jaane

Also Read: Latest Stories from on EntertainmentLifestyle and Currently In Trend

Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook Instagram Twitter Linkedin

[starbox id=erum

You May Also Like

Tenet | Christopher Nolan Ki ‘Tenet’ Amazon Prime Par Hue Release

John David Washington ke sath dete hue Robert Pattinson aur , Elizabeth Debicki, Dimple Kapadia, Kenneth Branagh, Aaron Taylor Johnson, Michael Caine and Clemence Poesy jaise diggaz milenge movie me.

Kya Is Actor Ko Date Kar Rahi Hain Huma Qureshi? Sonakshi Ki Shadi Ki Tasviron Ne Khola Raaj

Director Mudassar Aziz Se Breakup Ke Baad Huma Qureshi Ka Naam Pichle…

Kamal Hasan Starrer “Indian 2” Ka Dhamakedar Trailer Release, DamdaarAction Se Public Ke Udaye Hosh.

Kamal Hasan Apni Blockbuster Film Indian Ka Sequel Lekar Wapas Maidan Me…

Smriti Irani Birthday Special: Jab Politics Me Aane Ke Baad Gae Tulshi

Film industry me jaane ka sapana har kisi ka hota hai. Koe…