Swar Kokila, Lata Mangeshkar Bharat Ki Sabse Anmol Gaika Rahi Hai,Unki Awaaz Ki Diwaani Puri Duniya Hai.Unhone Na Sirf Filmi Balki Patriotic Songs Bhi Gaye Hai.Jaiase Ki Hum Sab Jante Hai Lata Ji Ab Humare Beech Nahi Rahi Par Unki Awaaz Unke Gaano Ke Madhyam Se Aj Bhi Unke Hone Ka Aehsaas Dilati Hai.Pichle 6 Dashko Se Indian Film Industry Ko Apni Awaaz De Rai Lata Mangeshkar Behad Hi Shaant Swabav Aur Pratibha Ki Dhani Thi.Unke Filmi Gaano Ko Sun Kar Jaha Hume Sukoon Aur Khushi Milti Hai Vahi Kuch Gaano Ko Sun Kar Aankhon Se Aansu Tak Chalak Jate Hai.Aiye Jante Hai Unki Zindgi Ke Kuch Pehloun Ke Bare Me.

Swar Kokila Ka Jivan Parichay

When Lata Mangeshkar talked about family financial crisis when she was a  child: 'There was no food' - Hindustan Times
P.C:Hindustaan times

Lata Mangeshkar Ka Janm 28 September 1929 Ko Indore Ke Marathi Pariwaar Me Hua.Unke Pita Ka Naam Pandit Deenanath Mangeshkar Aur Mata Ka Naam Shevanti Mangeshkar Tha.Inke Pita Rangmanch Ke Kalakar Aur Gayak The Isliye Sangeet Inhe Virasat Me Mili.Lata Ji Ka Pehla Naam Hema Tha Lekin Janm Ke 5 Saal Baad Inke Mata -Pita Ne Inka Naam Lata Rakh Diya Tha.Lata Ji Apne Sabhi Bhai -Behno Me Badi Thi.Meena ,Aasha,Usha,Aur Hirdyanaath Unse Chote Hai.Inke Janm Ke Kuch Din Bad Hi Pariwaar Maharashtra Chala Gaya.

P.C:Hindustaan Times

Lata Ji Ne 5 Saal Ki Umr Se Hi Apne Pita Ke Marathi Natak Me Kaam Kana Shuru Kar Diya Tha.1942 Me Jab Unke Pita Ki Mrityu Hui Tab Vo Keval 13 Saal Ki Thi.Pita Ki Mrityu Ke Baad Unke Dost Master Vinayak (Vinayak Damodar Karnatki) Aur Navyug Chitrapat Film Company Ke Malik Ne Lata Ji Ke Parivaar Ko Sambhal Aur Lat Ji Ko Ek Singer Aur Abhinetri Banne Me Madad Ki.

Lata Mangeshkar Ke Sangeet Ka Safar

Lata Mangeshkar obituary | Register | The Times
P.C:The Time

Lata Mangeskar Ne Apne Sangeet Ki Shruvat Marathi Film ‘Kiti Hasal‘(1942) Ke Liye Ek Gana Ga Kar Kiya.Inhone Hindi Bhasha Me Pehla Gaana ‘Mata Ek Sapoot Ki Duniya Badal De Tu’ Marathi FilmGajubhau(1943) Ke Liye Gya.Iske Baad Lata Ji Mumbai Chali Gai,Jaha Unhone Hindustaan Claasical Music Ke Ustaad Amanat Ali Khan Se Classical Sangeet Sikhna Shru Kar Diya.

P.C:Photos

Kuch Time Baad Ustaad Amanat Ali Pakistaan Chale Gai.Uske Bad Lata Ji Ne Gulaam Ali Khan ,Pandit Tulsidas Sharma Aur Amnanat Khan Devaswale Se Sangeet Sikha.1948 Me Vinayak Ki Mrityu Ke Baad Gulam Haidar Lata Ji Ke Mentor Bane.Haider Ne Lata Ji Ko ‘Majboor’ Film Me Pehla Bfreak Diya.Lata Ji Pehle Noorjaha Ki Awaaz Me Gana Ghati Thi Par Baad Me Unhone Khud Ki Awaaz Me Gana Gana Shru Kiya.

Lata Ji Ke Hit Songs kI Shruat

1949 Me Lata Ji Ne Film ‘Mahal’ Me Madhubala Ke Liye ‘aayga Aane Vala’ Gana Gaya Jo Kafi Pasand Kiya Gaya.Uske Baad 1950 Me Lata Ji Ne Kai Mashoor Sangeetkaron Jaise-S.D.Barman,Madan – Mohan Ke Sath Gane Gai.Uske Baad Lata Ji Ne Raagon Par Aadhrit Kai Filmon Me Gane Gai Jisme Waiju Bawra,Mughal-A-Aajam ,Khohinaar Jaisi Kai Mashoor Fims Maujood Hai.Uske Baad Uhone 1952 Se Lekar 1960 Tak Kai Gane Gai.Baad Me Kisi Vajh Se Lata Ji Ki Barman Ke Saath Anban Ho Gai Aur Unhone Unke Liye Gana Gana Chod Diya.

RD Burman Birthday Special: RD Burman Birthday Special Asha Bhosle And  Pancham Da's Love Story and Lata Mangeshkar's Letter as Wedding Gift- RD  Burman Birthday: उम्र में 6 साल बड़ी आशा भोसले
P.C:Navbharat Times

1960 Me Lata Ji Ne Mukesh,Muhd. Rafi, Mannaday,Mahendr Kapoor Aur Kishoor Kumaar Ji Ke Sath Kai Gane Gai.1972 Me Lata Ji Ne Film ‘Pakija’ Me Chalte Chalte,Aur Inhi Logo Ne,Film Prem Pujaari’ Ke Liye Rangeela Re,Film ‘ShrmiliKe Liye Khile Hai Gul Yaha.Phir Film Styam Shivam Sundram,Dastk,Heer-Ranjha,Hindustaan Ki kasam Jaisi Kai Mashoor Filmon Ke songs Ke Liye Kai Trah Ke Award Mile.

P.C:Amar Ujala

1990 Me Lata Ji Ne Jagjeet Singh,Sonu Nigam,Udit Narayan,A.R.Rehmaan Jaise Kai Sangeetkaron Ke Saath Superhit Gaane Gai.Lata Ji Ne Lagbhag Yashraj Ji Ki Sabhi Fims Jaise-Chandni,Lamhe,Dil To Pagal Hai,Dilwale,Dulhaniya,Le Jainge Mohabbatein,Mujhse Dosti Karogi,Veer-Jara Jaisi Films Me Gane Gai ,Jisse Log Aaj Sunna Aur Gungunana Pasand Karte Hai.Uske Baad Lata Ji Ne A.R.Rehmaan Ji Ke Sath Jiya Jale,Khamoshiyan Gungunane Lagi,Ek Tu Hi Bhrosa,Jaise Gaane Bhi Gai.

Patriotic Songs Of Lata Mangeshkar

Yu To Lata Ji Ke Sabhi Filmi Songs Ko Suna Hoga Par Jaha Baat Aati Deshbakti Gaano Ki To Lata Ji Un Gaano Ko Is Andaaz Me Gaya Jisse Sunkar Aj Bhi Hamari Aankhon Me Aanso Aaa Jate Hai Aur Dil Bhar Jta Hai.Lata Ji Deshbhakti Gaano Ki List Kuch Is Tarah Hai:

  • AI MERE WATAN KE LOGO
  • AISA DESH HAI MERA
  • VANDE MATRAM
  • HAR KARAM APNA KARENGE
https://youtu.be/MqCtlsIfCYw

Lata Mangeshkar Ko Bhartiye Sangeet Me Mahatvapurn Yogdaan Dene Ke Lye 1969 Me Padmbhusad,1999 Me Padmvibhusad,1988 Me Dada Saheb Falke Award,1999 Me Maharastra Bhushad Award,2001 Me Bharatratn,3 Rastriye Film Award,12 Bengal Film Patrakar Sangthan,Aur 1993 Me Film Fare Lifetime Achievement Award Sahit Kai Awards Se Navaja Gaya.Lata Ji Ne 1948-1989 Tak 30 Thousand Se Jaida Gaane Gai Jo Ek Record Hai

P.C:IWM Buzz

Swar Kokila,Lata Mangeshkar :The Queen Of Hills| Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin

You May Also Like

Bach Gaya RRR Ka Record, Prabhas India Ke Sabse Bade Superstar, Last 5 Film on Ki Opening Day Collection Hai Is Baat Ki Gawahi.

Kal Theatres Me Release Hui Film “Kalki 2898 AD” Apne Opening Day…

First 6 Months of Marriage Tips: Avoid These 8 Common Mistakes

The first 6 months of marriage tips are essential for any couple…

Tenet | Christopher Nolan Ki ‘Tenet’ Amazon Prime Par Hue Release

John David Washington ke sath dete hue Robert Pattinson aur , Elizabeth Debicki, Dimple Kapadia, Kenneth Branagh, Aaron Taylor Johnson, Michael Caine and Clemence Poesy jaise diggaz milenge movie me.

Postpone Ho Gayi Varun Dhawan Ki “Baby John,” Ab Is Nayi Date Par Hogi Release, Kya Naye Look Me Kamal Kar Payenge Varun

Varun Dhawan Ki Much Awaited Film “Baby John” Ko Ab Officially Nayi…