Suez Canal jo duniya ka sabse bada sea route hai. Usko hona pada jam ka shikar. Japan ki ek ship ne 23 march ko kar diya block. And iska effect poori duniya ke ship transportation par bhi dekhne ko mila.
Evergreen naam ki iss ship ne poore canal par kabaza kar rakha tha. Because of that 140 se bhi jyada ships ko canal ke bahar wait karna pada.
Isse incident nae dunia bhar ke economist ko sochne par majboor kar diya ki aane waale samay me iska kya asar padega aur kya Dunia bhar ki Poltical Party koi faisala lengi aise accident sae bachne kae liye. Suez Canal me atak jaane ki wagah sae joh baaki ships thi jinhe intzaar karna pada unka bhi isse incident me bahut zada loss hua aur in ships mae joh goods tha jaise Petroleum ,oil , Minerals ,etc. unke bhi prices par asar dekhne ko mila. Petrol aur Diesel ke Prices bhi high dekhne ko mile aur unke saath aur bhi imported products ke prices bhi high rahe.
Aakhir Kaise Atak Gaya Aur Phir 6 Din Baad Kaise Nikla Woh Ship Suez Canal Sae
Investigation abhi bhi chal rahi hai aur jaha tak officials ka kahna hai 23 March ko ek Sandstrom ki wagah se visibility bahut zada kaam hogayi thi aur strong wind ki wagah sae ship ka control bigad gaya aur woh jaa kar dono kinaaro ke bech mae atak gayi. Ship ko waha sae niakle ke liye next 6 din tak bahut saari small ships ka bhi help lena pada . Suez Canal Egypt ke sabse bade sea route ke saath saath Egypt ka ek identity ki tarah hai aur issiliye Egypt ne ship ko waha sae hatanae ke liye apne bahut sae ships bhi bheje tha aur ussi ka asar hai ki bina aur der kia woh ship ab wapas oceans par utar aayi hai.
Toh Kya Asar Hua Isse Suez Canal ke Incident Ka Dunia Bhar Ke Logo Par
Isse incident ne dunia bhar ke logo ka attention attract kia because aisa koi bhi incident pahle nahi hua tha aur India mae ye matter aur zada popular hua because ussi Ship ke 25 Crew Members Indian tha . Dunia bhar ke logo ki alag alag opinion thi isse incident ko lekar aur jaha pahle log pray kar rahe tha ki ship usse Canal sae safely nikal jaye wahi bahut saare aise bhi log tha joh Ship ke nikal jaane ke baad usse wapas Suez Canal mae Rakh aane ki baat kar rahe tha, Ship ke nikalte hi bahut saari Social media Sites par yae baat trend hone lagi and #putitback ke naam ke kai memes bhi banne lage. Bahut Compania Aise bhi thi Jisne incident sae Inspiration lete hue bahut saari trending Ads bhi banayi .Ek Add joh sabse zada troll hua woh tha Burger Kings ka. Burger Kings ne apne Advertisment mae ek Burger ko dikhaya joh Suez Canal mae hai . Jaldi hi social media par yae add censored kar diya gaya aur Egypt kae Logo nae bhi Apni narazgi jatayi isse Ade ko lekar.
Suez Canal | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin