in

WowWow

Tv Shows That Changed The Mindset And Empowered Women

Udaan| TV Shows

Ye story ek IPS officer Kanchan Chaudhary Bhattacharya ke upar based thi. TV shows mein ek young girl ki kahani bataiyi gai hai jiska Naam tha Kalyani jisne samaaj mein sare gender discrimination se ladte hue IPS officer Ka makam hasil Kara. Yeh TV shows late 80s and early 90s mein aaya tha .Isme women empowerment parr focus Kiya gaya tha aur yeh show us time aaya tha jab samaj mein itna women ko Adhikar nahin diya jata tha aur yeh unke liye Keval Sapna hi rah jata tha ki woh IPS officer bane ya koi bada pad hasil Kar paye.

5 TV Shows From the 80s You Need to Revisit
UDAAN

Main kuch bhi kar sakti hoon | TV Shows

Is TV shows ki puri story doctor Sneha Mathur joki ek young doctor th jinhoe Apne career Ko chhod Diya jo ki mumbai mein wo work karti thi aur unhone apne village pratappur mein hi kam karne ka man banaya. Aur doctor Sneha Mathur ke rahte hue unke village mein women ki condition mein bhi badlav aaya unhone women rights ke liye bhi ladai aur there’s so much issues in rural areas like hygiene issues, sanitation issues, women health issues unhone in sabhi issues ka datkar Samna Kiya.

Main Kuch Bhi Kar Sakti Hoon Becomes The First Indian TV Show To Use  Artificial Intelligence

Diya aur baati hum| TV Shows

Is TV shows mein Sandhya ki journey dikhai gai jo ki ek college girl se IPS officer bani Sandhya ke parents ki death ke baad use force Kiya Gaya marriage ke liye Suraj ke sath. And then Suraj ne Sandhya ki help ki IPS officer banne ke liye aur unhone use har situation mein support kara. Is show ne husband and wife ki stereotypical relationship ko htane karne ka kam Kiya. Is TV Shows mein dikhaya jata hai ki kaise ek women apni job aur family ko ek saath handle kar sakti hai.

Diya Aur Baati Hum (TV Series 2011–2017) - IMDb

Kaatelal and sons | TV Shows

Is TV Shows me dharmpal ki two daughters Garima and Sushila par focus Kiya gaya hai jo society mein establish patriarchal society se fight kar rahi hai . Show me dharmpal ji unke father hai unki shop katelal and sons mein daughters ka Jana Mana Hai Lekin unke daughters sabhi patriarchal issues ko todte hue us shop mein kam karna chahte hain. Wo ye sabit karna chahti hai ki choriya choro se Kam na Hai.

Watch Kaatelal & Sons Online - All Latest Episodes Available on SonyLIV

Ye TV shows hamari society mein awareness laane ka bahut bada role nibha rahe hai.


Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin

What do you think?

Written by SG

India

India: From Ranveer Singh’s Aankh Maare To Hanuman Chalisa. 5 Most Viewed Songs On Youtube.

Bill Gates And Melinda Gates Divorce