Twitter defaming India , Twitter apne aap ko bachane ke liye Bharat ko defame kar raha hai – ye Indian government ke dwara kaha gaya. Twitter Ne concern express Kiya Hai over “intimidation tactics” by Delhi police and “potential threat to freedom of expression in India”. Twitter ka kehana hai ki Indian government freedom of expression ko curtail karna chahti hai jiske Karan Twitter chintit hai.
Aur is statement ko lekar Indian government ka reply aaya ki jo bhi twitter ke dwara statement Di gai hai wo ekadam baseless hai Twitter apni khud ki Kamiyo ko chipane ke liye India ko defame karna chahta hai.
Why Twitter issued statement? | Twitter defaming India
Twitter ke dwara bola Gaya ki Delhi police Ne Gurgaon and Delhi ke company office mein raid ki thi lekin baad Mein delhi police ke dwara bola Gaya ki hum Keval Ek notice dene gaye the.
BJP ke leader Sambit Patra ke dwara 18 May ko Ek tweet Kiya Gaya aur us tweet ke andar unhone bataya ki Congress party ek toolkit lekar aai hai jiski vajah se vo prime minister Narendra Modi ko defame karne ki koshish kar rahi hai. Aur Twitter is tweet ko manipulated media kar deta hai.
What is manipulated media? | Twitter defaming India
Twitter ki policy Hai Ki woh kisi bhi chij ko manipulated media tab karti hai jab uske andar fact ko chupane ki koshish ki gai Ho. Uske bad IT ministry ne twitter se sawal Kiya ki aap ise manipulated media kaise ghoshit kar sakte ho. Uske bad notice wagareh bheje Gaye Twitter ko.#Twitter defaming India
Aur uske sath sath jo three persons ko appoint karne ke liye government Ne guidelines di thi usko bhi Twitter Ne follow nahin kiya tha. Is baat Ko lekar Twitter ka statement finally aata Hai.
Twitter statement !!! | Twitter defaming India
Twitter ka kehana tha ki hum Indian people ke taraf committed hai. Twitter and other civil societies ka kahana hai ki Indian government intimidation tactics apna rahi hai jaise ki woh police ko bhej kar raid kar rahi hai as well as notice bhi bhej rahi hai.
Isi ke reply Mein IT ministry ka kehana hai ki Twitter ke dwara jo bhi statement Di gai hai woh baseless hai and usmein twitter se yeh bhi kaha “stop beating around the bush and comply with the laws of the land”.#Twitter defaming India
Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin