Vaccine 2021: Government ne Monday ko Announce kiya ki Covid Vaccine for 18 years above 1st May se start kiya jayega. Prime minister ka ye decision, Covid cases ke increase hone ko lekar jo meeting rakhi gayi thi usme liya gaya tha.
State State Ki Baat Hai Bhaiya!
State Goverments ko ye authority di gayi hai ki who apne states ke condition ke hisaab se ye decision le ki 18+ ke liye vaccine drive open kare ya nahi. States ko ye bhi power di gayi hai ki who directly manufactures se vaccine ke doses mangwa sakte hai.
Ye decision aek din baad jab Former Prime Minister Manmohan Singh ne PM Narendra Modi ko states ki vaccine drive ko zyada age flexibility dene ka recommendation diya tha.
Vaccine 18+ ko deneka main motive yeh hai ki second wave of covid jo india mein faila hai that is more dangerous for the youth. Toh India ki youth ko virus se immune karna bohot important hai.
Vaccine Lene Ke Baad Kya Hoga?
But Vaccine leneka yeh matalab nahi hai ki aap phirse khul ke hasne gane ke din aa gaye. Music concerts aur ghumne firne firse jaa sakte ho crowded places pe. Ye yaad rakhe ki first dose ke baad bhi aap infect ho sakte ho aur dusro ko infect kar sakte ho. Aur dusre dose leneke ke baad 10 din ke baad aap immune hote ho.
Covid ke itne saare mutations ho gaye hai ki ungliyon pe ab count bhi nahi kar sakte! Aur inn sab mutations ki alag alag speciality hai. Jaise South African Mutant jisse N501Y bhi kehte hai bohot hi fast spread hota hai aur aek person ki immune system ko dodge karke usko infect kar sakta hai.
Doctors toh mazak mazak mein ye bhi kehte hai 2021 ke end tak toh itne variants aa jayenge world ke alag alag parts se ki world cup khela ja sakta hai virus ka!
Government ne yeh bhi declare kiya hai ki ke 50% supplies open market ke liye khol diya jayenge. Jiska matalab ye hai ki vaccine aapko private institutions aur hospitals se bhi mill jayega. Par unka apna Self-Set, vaccine price hoga.
Toh agar aapki age 18 years se upar hai, toh register kariye aur vaccine ka pahela dose vaccine ka 1st may se le lijiye.
European Super League | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin