Friday ko, Tamil Nadu ke health secretary J Radhakrishnan ne clarify kiya ki Vivek ki cardiac condition jo hai vo covid vaccination jo Thursday ko liya tha usse linked nahi thi.
Vivek Tamil Nadu ke actor, apne 59 ki age me hui maut Saturday ko, jiss din unhe hospital me admit kiya uske agle din hi unki ho gayi maut, Chennai ke ek hospital me unhe behosi ki halat me kiya tha admit lekin uss waqt vo thoda hue the recover, lekin uske agle din hi ho gayi unki death.
Unki condition kafi critical thi unko hospital ke intensive care unit me rakha tha jahan par vo cardiac or respiratory support ke upar survive kar rahe the. Vivek ki ek emergency coronary angiogram aur angioplasty kiya jiske baad pata chala ki unke left coronary artery me 100% blockage hai.
“Vo ek intense coronary syndrome cardiogenic shock ke sath tha,” ye statement hospital walon ne diya unki medical report me. “Ye ek separate Cardiac event hai corona vaccination jo Thursday ko li gayi thi usse koi link nahi hai.
Vivek ne apna covaxin ka first dose Chennai ke kisi government health facility me liya tha.
J Radhakrishnan ne kaha ki ussi din 860 logo ne vaccine liya tha. “Unke 100% blockage ka or covid vaccination ka bich me koi link nahi hai. Humne friday ko unpe covid 19 ka test kiya tha jo ki negative aya. Unke CT scan me bhi koi covid ke symptoms nahi dikhe,” Radhakrishnan ne kaha. “Vaccine ka reaction normally 30 mins me pata chal jata hai; isko anaphylactic shock kaha jata hai. Or Vivek ka case me aisa kuch bhi nahi hai…”
Vaccine lene ke baad Vivek ne khud public ko urge kiya tha vaccine lene ke liye. Aur vo dengue related ek campaign me bhi shamil the. Vivek ek din apni widow or two daughters ki vajaha se survive kar gaye. Varna unki condition kafi jyada critical thi.
Vivek Ki Maut Par Diye Gaye Bahut Se Tribute Usme Prime Minister Narendra Modi Bhi The Shamil
Bahut sare tribute diye gaye jab unki death ki news aai. Prime Minister Narendra Modi ne tweet karte hue kehte hai: “Vivek ji ki achanak maut ki khabar sun ke bhaut se logo ko or mujhe dukh hua. Inka comic timing aur intelligent dialogues ne bahut entertain kiya tha logo ko. Inki films or inki real life me bhi inhone bahut entertain kiya h logo ko, vo environment aur society ke liye kitne concern rhete the vo unki films or real life me bhi dikhta tha. Me inke family, friends or admirers ke sath unka dukh share karte hue kehna chahta hu ki, Om Shanti.”
Vivek ne film industry me ek comedian ke taur pe apne nisan banaye the aur vo apni comic roles me jyada se jyada social themes aur kisi message pe focus karte the. Unhe Padma Shri award se nawaja gaya tha, wo India ka fourth-highest civilian award hai, jo ki unhe 2009 me mila tha.
Vivek ji ko hum pure dil se tribute karte hai, unke kaam or unke comedy through diye gaye messages or social themes hum humesha yaad rakhege.
Vivek | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin