WhatsApp File Case . WhatsApp ne Indian government ke against Ek case file kar diya hai high court mein. Chaliye ab issue jante Hain . 25th may 2021 social media platforms ke pass last date thi un guidelines ko maane ke liye Jo government ne 3 months pahle release ki thi. Lekin in sabhi apps ne koi bhi guidelines nahin maani aur ye bhi baat chal rahi thi ki kya 26 may ko Facebook ,Instagram ,Twitter band ho jaega.
Unconstitutional | WhatsApp File Case
Aur ban lagne se pahle hi WhatsApp court chala Gaya. Aur inhone Delhi High court mein jakar ye boldiya hai ki government ne Jo guidelines likhi thi woh unconstitutional hai. Aur social media platforms Ka Ye kahana hai ki hum Inka paalan nahin kar sakte. Aur WhatsApp ne main issue traceability demand ko lekar bataya hai.

Traceability Issue | WhatsApp File Case
25th February 2021 ko government ne bahut sari guidelines jari ki thi social media platforms ke liye. Aur guidelines Mein alag alag instructions de alag alag platforms ke liye like WhatsApp ke liye alag instruction ,Facebook ke liye alag instruction isi type se sabhi social media platforms ke liye different different.
Whatsapp ke liye ek instruction tha ki aapke messenger per jo bhi message likhega uska first originator woh aapko pata hona chahie ki kaun hai.

Fake News | WhatsApp File Case
Like jaise ki ham jante hi hai ki fake news kis type se failti rehti hai Jaise Ek person ko agar koi bhi news mil gayi to aise hi Bina soche samjhe us news ko aage forward karta rahta hai aur jiske Karan har taraf bhoochal sa aa jata Hai .
To usko kam karne ke liye government ne ye decision liya tha ki jo yeh message sabse pahle send kar raha hai uska pata chal sake yani firstly fake message kisne bheja tha . To is traceability Idea ko lekar whatsapp kabhi bhi comfortable nahin tha.
/cdn.vox-cdn.com/uploads/chorus_image/image/69153080/1178141587.jpg.0.jpg)
Privacy Policy | WhatsApp File Case
WhatsApp ka ye kehna hai ki agar aap humse ye sab karvaoge to to iska matlab hai hamen har message ka fingerprint rakhna padega.Aur jo WhatsApp hi Unka kehna hai ki hamare WhatsApp par end to end encryption hota hai.
yaani jo bhi chatting Hoti Hai uske bare mein WhatsApp Ko bhi pata nahin hota .hum right to privacy Ka khayal rakhte hain.WhatsApp File Case

Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin