Har saal 5 june ko World Environment Day manaya jata hai. Iss din hum log environment ke pros and cons ke baare me baat krte hai or iss vishay me kya positive badlaav la sakte hai iske baare me vichaar krte hai. Dekha jaaye to ye din humare bhavishya ke baare me hai, agar humara environment nahi bachega to hum bhi nahi bachenge. Isliye EARTH DAY ke sath-sath yeh din baaki sabhi dino se kahin jada important hai, kyuki baaki din tabhi manaye ja sakte hai jab unhe mnane ke liye hum bache rahe and World Environment Day hume bachane ki disha me ek beyhad zaruri kadam hai.
History:-
1972 me 15 December ko Sanyukt Rashtra Mahasabha ( United Nations General Assembly) ne ek prastaav paarit kiya or har saal 5 June ko World Environment Day ke roop me mnane ki baat kahi, tabhi se har saal yeh diwas 100 se Jada countries me manaya Jaane laga.
Aaj Dharti Maa Ro Rahi Hai Kyuki :-
Hum insaano ki wajah se jeev- jantu (Animals & Birds) ke vilupt hone ki darr jitna honi chahiye thi usse hazar guna jada hai.
Jab Chetavani Mili
Agar aap 90s ke pehle ki generations hai to shayad aapko Yaad hoga ki jab hum chote the to humare Ghar ke aas pass dheero gaurayiya chehchahaya krti thi. And maa jab chhat par gehu sukhaya krti thi to weh gehu ke pass madraya krti thi. Isi Tarah shehar me fish market ke pass dheero giddh madraya krte the kaha gye ye sab. Humne mobile tower ke radiation, insecticide, pesticides ka use or andhadundh shikar, pollution or aisi hi Anya cheezo se inhe khatam kr diya hai.
And inki kya baat kare agar Save Tiger project na hota. Then shayad aaj bharat ko koi dusra National Animal khojna padta. Behisaab paani ki barbaadi ke wajah se paani ka level girRaha hai. Lagataar badhte pollution se Samudra bhi nahi Bache hai. And hum environment me itni carbon dioxide release kar rahe hai ki, Samudra tak ka paani acidic hota ja Raha hai. Just Because humne apne, Ghar Banane ke liye itne jungle cut kar diye hai ki. Aaj biodiversity bade khatre me padgyi hai. Global warming ab sirf badi – badi conferences ka hissa nahi hai, but hum usse khud mahsoos karne lage hai.
Kya Kar Sakte Hai Hum:-
Yeh bhool jaiye ki sarkar kya karti hai, kya nahi krti. Aapke aas-pados wale kya krte, kya nahi krte. Family sath deti hai, nahi deti hai..ek responsible person baniye. And sochiye ki aap khud se environment me kya positive badlaav la sakte hai. And apne level tak Kitna environment ko save kar sakte hai aane wali peedhi ke liye.
Mai yaha kuch baatey likh rahi hu and aapko jo baatey inme se acchi lage unpar amal kijiye..
- 3 R’s ko Yaad rakhiye ( Reduce, Reuse, Recycle) ..
- Plant &Tress lagaiye..
- Plastic bags ko NO kahiye..
- Electricity or Paani bachaye..
- khana barbaad na kare..
- Use and throw nahi Use and Reuse kare..
Jab dharti ka antim ped cut jayega, jab iss sansaar ki antim nadi zeherili ho jayegi. And jab yeh dharti poori tarah se banjar ban jayegi . Then shayad hum yeh samajh payenge ki hum paiso ko nahi kha sakte hai .
“Prithvi humari nahi, hum prithvi ke hai”…
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin
[starbox id=swati]