Storia food ki naam ki ek company ne recently hi ek add launch kia tha apne product ke advertisement ke liye jisme unhone characters ko Rahul Gandhi and Sonia Gandhi ke role me dikhaya. Isse add nae congress ke ex-chairman, Rahul Gandhi and Sonia Gandhi ko ek funny aur mocking way me represent kia. Congressmen kae Mumbai me isse add ke against protest ke baad company ko isse add ko youtube sae hatana pada.
Toh Aakhir Tha Kya Isse Add Me Jisne Congress Members Ke Emotions Ko Hurt Kia:
Isse Add me Storia naam ki company nae apne shakes ka advertisement kia tha. Add me hum dekh sakte hai ki joh person Rahul Gandhi ka role play kar raha hai usne Rahul Gandhi ke kuch popular election slogans ka use kia. Add ek office kae scene me shoot kia gaya joh kisi political party ke office ki tarah hi dikh raha tha and waha centre me main chair par ek lady baithe thi joh Sonia Gandi ko mimic kar rahi thi. Add ke male character nae R. Gandhi ke voice or excent ko bhi match karne ka try kia tha. Rahul Gandhi ke campaign ka ek dialogue jaha unhone kaha tha” Main aise machine launga , jisme aap ek taraf sae aalu daaloge toh dusri taraf sae sona niklega” ka use isme kia gaya aur Rahul Gandhi ko ek naive person ki tarah resemble kia gaya. R. Gandhi ke 2019 ke election rally ke dialogue jaise, “Khatam,bye-bye,tata,good-bye,gaya” ka direct use kia gaya isse add me.
Niche diye gaye link par click karke aap directly isse add ko dekh sakte hai
Congress Ke Workers Ka Kya Reaction Raha Apne Leader Rahul Gandhi Ke Support Me:
27th April ko Congress workers nae Storia Foods ke office ke saamne protest kia and Add ko turn down karne ki demand ki. Congress ke workers nae isse matter ko bahut seriously lia and apne leader ke support me saamne aaye. Congress ke workers nae Storia food ke store ke saamne bahut disturbance create kia. Police ko bhi isse protest ko shaant karne ke liye involve hona pada. Finally, company agree hogayai aur usne isse advertisement ko youtube sae delete kar diya.
Rahul Gandhi | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin