Jab baat horror movies ki ho then hame indian movies hamesha nirash hi karti hai. But aaj ham aapko batane jaa rhe hai bollywood ki vo behtareen 5 horror movies jo hollywood ki movies ko deti hai barabar takkar.
Kyu Badnam Hai Bollywood Ki Horror Movies
Aam taur pe indian horror movies comedy movies hi hoti hai. Then chahe bollywood ho ya tollywood ya phir koe bhi regional language ki movies sab ek se badh ke ek comical hoti hai. So shayad islie ham logo ne bhi ab umeed chor di hai indian movies se. But aaj ham un 5 Horror movies ko leke aae hai jo ham sabki dharna badal denge.
Specially indian horror movies ko leke. Because ham log jabse Indian horror movies ko dekhte hue aae hai, ham darte kam hai but haste jyda hai. Khair chalie aaj apko batate un movies ke baare me jo hollywood ki horror movies ko deti hai takkar.
So ye rahi vo 5 movies jo aapke rongte khade kar de aur agar apka interest Indian horror movies se hat gya hai then dobara interest jaga de.
Tumbbad
Tumbbad kaafi khubsurti ke sath shoot ki gae ab tak ki best horror movies me se ek hai. And is movie ko aur behtar banata hai iska sound design. But then aap movie se jyda expect bhi nahi kar sakte hai jisme Anand Gandhi ho. Tumbbad Kae mayano me achi film hai. Ya phir yu kahe kaafi achi and darawani movie hai. Best baat to ye hai aapko kaafi gehrai tak sochne pe majbur bhi kar deti hai ye film. Baaki agar background score ki bat kare to lazawab hai and mentionable to hai hi. Because of that is movie ko best Indian horror movies ki list me se ek hai.
13B: Fear Has a New Address
Agar aapko bhi lagta hai ki horro movies me bhuto ko dikhana jaruri hai then aap galat hai and 13B aapki isi galat faimi ko dur bhi karti hai. Although film 60s ki Hollywood movies se kafi similar lagti hai. But movie thodi si slow chalti hai vo thoda sa down karti hai. Lekin overall dekha jae to ye kaafi behtareen movie hai Indian Cinema ki jo horror segment me Hollywood ko deti hai bakhubi takkar. And movie ki khas baat hai R. Madhavan ka hona unki presence movie ko connectable kar deti hai. Ye ek behtreen movie hai jo apke dimag ke sath khelti hai aur aapko darati hai. Although movie ke kae twist hai jo aaj bhi critics ko samjh nahi aae and ab tak uspe behas chala karti hai.
Ghoul
Baat agar kar Ghoul ki to ye Netflix ki shandar filmo me se ek hai. But technically ye movie nhi hai, sirf ek mini series hai. Halaki isko lekar ye bat kahi jaati hai ki ye as a movie release hone vali thi but isko 45-50 min ke 3 episode me divide karke on Air kiya so is lihaj se ye is list me shamil hai. But ise ham sirf horror movie nahi bol sakte as in is film ke sath film ke producer aur director ne kae kataksh karne ki kosis bhi ki hai. Like, Sacha Deshbhakt kaise bane, Government ka syllabus, and religion pe comments aapko current policits se related lagengi. Kaafi bariki ke sath ye movie bani hai and jisko bhi politics ka thoda sa bhi knowledge hoga vo in hints ko capture kar lega jo film dikhana chahti hai. Overall agar dekhe to ye movie cum mini series kaafi impressive aur suspence se bhari hue hai. Story me aapko bharpur horror masala milega. Is dark story me kae dilchasp twist hai jo end tak aapka interest banae rakhte hai.
The House Next Door
Jo log kahte hai ki bollywood ki horror movies Australian ya Hollywood ki other horror movies ke barabari nahi kar sakti, Un sabhi logo ko jarur dekhni chahie The House Next Door. Isme har ek vo pehlu hai jo aap horror movies me dhundhte ho . Then chahe vo darawani but realistic script ho ya behtreen rongte khade kar dene vala sound ya actors ki realistic acting. Sab kuch aapko is movie me milta hai and aapko ek proud moment bhi deta hai ki hamre india me bhi horor movies waqai darawni hoti hai. Dil se kah rha agar apne ab tak is movie ko nahi dekhi, to jrur dekh lijiye varna baad me sirf pachtana rhega ki itni epic creation aapse miss hogae.
Bhoot
Hamaari list me 5 number pe ati hai Ram Gopal Varma ke direction me bani Bhoot. Mante hai Ram Gopal Varma ne ek se badh ke ek ghatiya stories di hai. But ye silsila start karne se pehle hi unhone critically acclaimed aur behtareen cult classic Is movie ko bhi banaya. Ye movie kafi jyda darawani and well scripted movie hai. But is movie ka asli credit to Urmila Matondkar ki acting ko jata hai. Although Sound designing thodi behtar ho sakti thi is movie ki but atleast comical to nahi hai na other bollywood horror movies ki tarah. And overall ye movie comparatively kaafi achi hai.
Aur Bhi Articles Padhe: Milegi Girlfriend Ab Rent Pe | Carry Ka Kehar | Paad Ka Ilaaz |
Funny Memes or Entertaining Articles ke Lie Follow Kare Hame: Instagram | Facebook | Twitter | LinkedIn