BoAt Airdopes 621 true wireless stereo earbuds ab India me launch ho chuke hai. Features ke mamle me ye earbuds heavily loaded hai. Battery se lekar bluetooth connectivity tak ke mamle me BoAt Airdopes 621 ka koi muqabla nahi hai.

Boat Airdopes 621 TWS Earphones With Up to 150-Hour Battery, IPX7 Rating  Launched in India | Technology News
Source – https://gadgets.ndtv.com/

Also read : Xiaomi Band 6 Aur Naya Smart Phone 29 March Ko Hoga Launch : Jaaniye Details

BoAt Airdopes 621 Features Aur Specs

BoAt apne products ko hamesha se heavily featured banata hai aur BoAt Airdopes 621 ke mamle me bhi unhone koi kasar nahi chodi. BoAt Airdopes 621 ke features aur specs are as follows :

  • Battery Life – 5.5 hours ki battery life single charge par, 35mAh battery, Case ki 2,600mAh ki battery hai, USB Type-C port charging
  • case 5-7 hours ki charging me fully charge hojata hai
  • 5 minute quick charge se 1 hour ki battery life milti hai
  • case ke upar ek digital screen hai jo remaining battery dekhi ja sakti hai
  • case ko power bank ki tarah bhi use kara ja sakta hai
  • touch controls
  • BoAt Airdopes 621, IWP technology se equipped hai jisse case open hote hi buds pair hojate hai
  • 6mm moving coil drivers,
  • Bluetooth v5.0 se equipped airdopes jisse 10 metres tak ki range milti hai
  • BoAt Airdopes 621, IPX7-certified hai jo earbuds ko water aur sweat resistant banata hai
  • Boat Signature Sound, Google Assistant aur Siri voice assistant ko hands free control ka bhi feature hai

Also read : Volkswagen Vs Tesla

Price Aur Where To Buy From

BoAt Airdopes 621 kafi economical hai aur Rs. 2,999 ke introductory price par launch huye hai. BoAt Airdopes 621 do colors, Active Black aur White Frost me available hai aur Amazon aur BoAt ki official site se inhe buy kara ja sakta hai.

Also read : Aaj Kal Aapke Android Apps Crash Kar Rahe : Google To The Rescue


Ab Rv Talks telegram par available hai to turant hi hamare telegram channel ko join kariye so that koe bhi update miss na ho. Aap hamse hamare social media channels par bhi connect ho sakte hai. Facebook Twitter Instagram Linkedin

You May Also Like

Tenet | Christopher Nolan Ki ‘Tenet’ Amazon Prime Par Hue Release

John David Washington ke sath dete hue Robert Pattinson aur , Elizabeth Debicki, Dimple Kapadia, Kenneth Branagh, Aaron Taylor Johnson, Michael Caine and Clemence Poesy jaise diggaz milenge movie me.

Kya Is Actor Ko Date Kar Rahi Hain Huma Qureshi? Sonakshi Ki Shadi Ki Tasviron Ne Khola Raaj

Director Mudassar Aziz Se Breakup Ke Baad Huma Qureshi Ka Naam Pichle…

Kamal Hasan Starrer “Indian 2” Ka Dhamakedar Trailer Release, DamdaarAction Se Public Ke Udaye Hosh.

Kamal Hasan Apni Blockbuster Film Indian Ka Sequel Lekar Wapas Maidan Me…

Guinness Book Of World Record Mein Shamil Hua IPL..

Gujarat Titans Aur Rajasthan Royals Ke Beech IPL 2022 Ke High Voltage…