in

OMGOMG

Amul And Peta Controversy : Vegan Versus Cow Milk

#Amul And Peta controversy The people for the Ethical treatment of animals (PETA) ye ek American animal rights organisation hai. Ye organisation animals ke rights ke liye awaaz uthati hai aur pure Desh bhar Mein yeh protest bhi Karti Hai animal rights ke liye.

Inka kahana hai ki animals ke sath proper treatment Kiya Jana chahie kyonki unki bhi feelings hoti hai jo ki bahut jyada important hai. Aur Agar ham baat karein India ki to India mein PETA ko lekar bahut jyada criticism ho chuka hai kyunki yeh organisation India ke festivals ko lekar bahut kuchh keh chuki hai. # Amul And Peta controversy.

Amul's tribute to Oscar winner Joaquin Phoenix gets 'vegan' response from  PETA

Current Issue | Amul And Peta controversy

Ab ham recent case ke bare mein jante Hain jismein PETA Ne Amul ko achanak se kaha ki aap dairy milk ko produce karna kam kar dijiye aur vegan milk ko jyada produce kijiye. Aur Iske reply Mein RS Sodhi ji jo ki kaam kar rahe hain as a managing Director for Amul unhone kaha ki fir farmers ka kya hoga .

10 crore farmers India mein Jude Hain dairy industry se. Aur inme se bahut se farmers to poor bhi hai jinke pass apni land bhi nahin Hai . To Agar ham vegan milk produce karne lag jaateHai to in dairy farmers Ka Kya hoga in sabhi ko employment kon provide Karega.

The success story of the world's ninth-largest dairy company, Amul


Aur Agar ham dairy milk ki production ko kam karva kar vegan milk ki production par Dhyan dein to humein pta chlega ki vegan milk ki cost bhi jyada hoti hai. Ek lower middle class people vegan milk ko kaise afford Karega. #Amul And Peta controversy

Vegan milk versus cow milk | Amul And Peta controversy

Vegan milk ko Kai baar plant based milk bhi kaha jata hai . Almond milk ,soy milk and coconut milk ye kuch predominant varieties hai vegan milk ki . And moreover Agar ham vegan milk Ki baat karein to ismein manual work ki jgah jyadatar industrial work Kiya jata hai jisse ki unemployment ki problem bhi create Ho jaati Hai. #Amul And Peta controversy

Mother Dairy, Amul hike milk prices by up to Rs 3 per litre

And PETA ka kahana hai ki cows milk unhealthy hota Hai. Is it really??? Kya aap sabhi ko sach mein lagta hai ye unhealthy Hai kyunki hum to hamesha se isi Ka Sevan karte aa rahe hain. Aur Unka kehana hai ki agar hum cow milk Peete Hain To yah Ek type ki cruelty hai. #Amul And Peta controversy


Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin

What do you think?

Written by SG

Horror Movies Of All Time That Will Haunt You Long After The Credits Roll

Reality Shows Of All Time Favourite