Kuch dino pehle hi ek Naya itihas ham sabhi ke saamne aya. Jisme bataya Gaya ki Haldi Ghati me Maharana Pratap ne Akbar ko haraya tha. Bachpan se jawani tak jo history ki Kitab me hamne padha tha. Usme to Kissa ek dam ulat hai. And ek Kahani aur bhi famous hai. Jiske according Maharana Pratap ne ghas ki rotiya khaee thi apni Kasam ki laaz rakhne ke lie. Jungle me islie vo rahte rahe. Kuch dino Pehle Rajasthan Government ke Minister Mohanlal Gupta Ji ne suggestion diya tha. Ki Akbar ke badle Maharana Pratap ko Haldi Ghati ka Vijeta dikhaya jae.

Ab Rajasthan ke hi historian Chandra Sekhar Sharmahai jinhone ek reaserch jaari kiya hai. Sharma ji ke according maharana pratap haldi ghati yudha ke baad zameeno me patte jaari karte rahe. is hisab se Maharana Pratap ki jeet hue thi haldi ghati yudha me. And agar vo haare hote to patte kaise zaari karte?

Phir kya tha logo ka ek khaas tabka is nae itihas ka mureed ho gya. But sachai kya maani jae? So Chalie ek Nazar daalte hai June 1956 me hue Haldi Ghati ke yuddh ke Kuch ithas par jo ham ab tak jaante aae hai. Ye saari information sadiyo se hamare saath hai but achanak se is badle hue itihas ko, Kaise accept kare. Khair aap khud padhe aur decide kare

Ladai Haldi Ghati Me Hue Hi Nahi

Haldi ghati Rajasthan me do pahadiyo ke beech ek patli si khaee hai. So vaha ki mitti Haldi ke colour ki hai islie uska Naam Haldi Ghati pada. Itihas ka ye yuddha to Haldi Ghati se shuru hota hai but Maharana Pratap vaha lade hi nahi the as in ladai khamnaur me hue thi.

Mughal Historian Abul Fazal ne ise “Khamnaur” ka yuddha kaha tha.

Rana Pratap ke kavi Rama Saandu “Jhoolada Maharana Pratap Singh ji ra” me likhte hai:

“Maharana Pratap apne ghudsavar dal ke sath haldi ghati jarur pahuche but bhayankar raktpaat to Khamnaur me hua”

Char Ghante Ka Yuddha

Haldi ghati yuddha ki do dates popular hai. Ek 18 June and second 20 June. But inme se kis date me yuddha hua ye kisi ko confirm nahi. Then agar mile details ke according dekhe to ye 4 ghante ke aas paas hi chala tha bus.

Planning To Ek Dum Hollywood Movie 300 Ki Tarah Thi

Hope aap sabhi ko yaad hoga. Hollywood Director Jack Schneider ki 2006 me release “300” Movie. Jo ki ek historical war se related thi. Is film me King Leonidas apne 300 soldiers ke saath 1 laakh soldiers ki army se ladta hai. Jisme patli si jagah se dushman ek-ek karke ander aate hai aur maare jaate hai.

Maharana Pratap ne bhi aisi hi kuch yojana banae thi. But mughalo ki taraf se ladne aae General Mansingh ghati ke ander nahi gae. Mughal jaante the ki ghati ke ander se itni badi army le jana sahi nahi rahega. So kuch time wait karne ke baad army Khamnaur ke maidan me pahuch gae. Iske baad to sirf bhayankar narsanghaar hua. And Ye kahna galat nahi hoga ki us 4 ghante ki ladai ne 400 saal ka itihas tay kar liya.

Barabar Na Thi Army

Mughal apni army ke solders ki ginti nahi btate the. But ye mana jaata hai ki Maharana Pratap ki army mughal ki army ka 1/4th thi. And Mughals ke hatiyaar kaafi advanced bhi the.

Mughal historian Abdul Qadir Bandayuni, likhte hai, ‘ 5000 savaro ke saath kuch kiya” Dushman ko lag sakta tha ki 5000 ki army soldiers hai but ye sirf ghodo ki ginti hai. Poori army ki nahi. And itihas me army ki ginti ke alag-alag mat hai.

British historian Colonel James Todd ne likha hai ki 22,000 rajput 80,000 mughalo ke khilaf lade the. Ye counting vaise to galat bhi nahi lagati . Because jab akbar ne chittaurarh pe hamla kiya tha tab 60,000 soldiers the. Aise me vo Mansingh ke saath apne se jyda army Kaise hi bhej sakta hai?

Agar Rajasthani historian Muhanaut Nainsi, Mughal historian Abdul Qadir Bandayuni, Abul Fazl and famous historian Yadunath Sarkar ke stats ko milakar average nikala Jae. .Then 5000 Mewari and 20,000 Mughal army ki ladai maani jaa Sakti hai.

But Ham Powers Ko Sainko Ke Behal Pe Nahi Baat Sakte

Mewar ke pass Guns nahi the but Mughals ke pas 100 ke aas pas guns the.

Rana Pratap ki Taraf se famous ‘Ramprashad’ and ‘Luna’ Samet 100 haathi the. Vahi Mughalo ke pass inse 3 guna jyda haathi the. Mughal army ke sabhi Hathi kisi Armored tank ki Tarah safe gote the. And inke trunk pe sharp Khande bandhe rahte the.

Rana Pratap ke pass ‘Chetak‘ ko mila kar 3000 ghode the. Mughalo ke ghode 10 hazar ke bhi upar the.

Mewar ki taraf se na barabar topo ka use hua because pahadi kharab hone ke chalte topo ko le jana bhi possible nahi tha. But mughalo ke pass to ooto ke upar rakhne vaali tope thi.

Poori ladai me Rajputo ne ooto ka use nahi kiya but Mughal historian Muhammad Hussain likhte hai:

“Mughal fauz me ooton ke risaale aandhi ki tarah daud rahe the”

Jahla Ne Di Jaan Rana Ke Badle

Yuddha ke beech me ek time aisa aaya tha jab Rana Pratap charo taraf se gher liye gae the. And unke dur se dikh rahe mukut ko hi nishana banaya ja rha tha. Aise me Sardar Mannaji Jhala ne mukut unka pehan liya. Kaha jaata hai ki Rana us time bahut buri tarike se ghayal the. Mughal mannaji ko Rana Pratap Samjh kar nishana banane lage. mannaji kuch time tak to ladte rahe but end me virgati ko prapt hue. Unhone apni jaan de kar rana ki jaan bacha li.

Aaj Roz ek Naya itihas likha ja rah hai. Whatsapp university aae din nae course launch karti hai. And WhatsApp university ke students inko as fact sabke saamne represent karte hai. Aise situation me hamne aapko Kuch facts btae hai Mughalo aur Mewari Historians ke. Is yuddha me Kaun jeeta and Kaun Hara aab aap hi tay kar le.

Also Read: Latest Stories from on EntertainmentLifestyle and Currently In Trend

Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook Instagram Twitter Linkedin

You May Also Like

Bach Gaya RRR Ka Record, Prabhas India Ke Sabse Bade Superstar, Last 5 Film on Ki Opening Day Collection Hai Is Baat Ki Gawahi.

Kal Theatres Me Release Hui Film “Kalki 2898 AD” Apne Opening Day…

First 6 Months of Marriage Tips: Avoid These 8 Common Mistakes

The first 6 months of marriage tips are essential for any couple…

Tenet | Christopher Nolan Ki ‘Tenet’ Amazon Prime Par Hue Release

John David Washington ke sath dete hue Robert Pattinson aur , Elizabeth Debicki, Dimple Kapadia, Kenneth Branagh, Aaron Taylor Johnson, Michael Caine and Clemence Poesy jaise diggaz milenge movie me.

Postpone Ho Gayi Varun Dhawan Ki “Baby John,” Ab Is Nayi Date Par Hogi Release, Kya Naye Look Me Kamal Kar Payenge Varun

Varun Dhawan Ki Much Awaited Film “Baby John” Ko Ab Officially Nayi…