in

WowWow

Bermuda Triangle Ka Rahashya | Jane Saitani Sakti Hai Ya Kuch Aur

Aisa kai baar dekha ja chuka hai ki Bermuda triangle se gujarne wali jahaj ko samundar nigal jata hai ya to phir bilkul gayab ho jata hai. Bermuda triangle Atlantic ocean me Florida, Bermuda aur Puerto Rico jaise island se karib 3,00,000 km area me faila hua h. Aise bahut se ajeeb ghatnaye Bermuda triangle me dekhi ja chuki hai, Jaise achanak se weather me changes aana, Jahaj ka engine fail ho jana. Yaha tak ki agar koi ocean me swim karna v chahe to wo kar nahi pata. Aise hi bahot si ghatnaye ke wjh se logon ke liye ye hmesha se ek mystery bankar reh gaya hai.

Aaiye jante hain esi Bermuda Traingle ka rahashya :-

What Is Known (and Not Known) About the Bermuda Triangle | Britannica

Jahajo Me Aane Wali Samasya

Yu to yaha hazaro ghantaye hui hain. Kuch famous happening me se ek hai jab Aug 1942 me Americi Nausena ka fighter jet jo bombardment krke  isi Bermuda triangle ke upar se waps aa rha tha . Lekin achanak uska connection Radio station se tut gya, usme lage hue instruments kaam krna bnd kr diye. Uska navigation system puri tarah fail ho raha tha aur in sb me 1 common samasya problem dekhi jati h ki sabhi ka compass kaam nhi kr rha hota hai.

www.imagenet.in

Jahaz Ki Raftaar Ho Jati Hai 10 Guna Tez

1970 me ek pilot yaha se laut ke aaye the jiska naam tha Bruce Gernon. Unhone btaya ki achaanak se mausam bigad gya aur samne badal ka ek fog sa chaa gya jise hexagonal cloud kehte hai. Iske andar radio frequency bhi kaam krna band kr diya tha aur approx 3 min ke baad unka jet jab us range ko cross krke bahar nikla tab unhone paya ki jahaz 150 km door pahuch gya. Iska mtlb jahaj ka raftaar 3000km/hr ho gya tha jo abhi tak kisi bhi jahaj ke liye possible nhi hai. Bss enhi mishappenings ke wajah se Bermuda Traingle ka sach scientists ke liye ek challenge bante ja rha tha jiska raaz avi tk khulna baki tha.

Janiye Bermuda Triangle Ke Piche Chupa Raaz

Secrets of the Bermuda Triangle review: This drab documentary series tries  to demystify the legend | Entertainment News,The Indian Express
  • Bermuda triangle ke niche volcano ke paye jane ke karan aur uske fatne ke karan kuch toxic gases nikalti hai jaise Methane. Methane gas jab pani se milta hai to wah pani ki density ko bhot km kar deta hai. Ships ke body ko ocean density ke according se manufacture kiya jata hai taki wo upar float kar sake aur density ke achank se kam ho jane ke karan wah achanak se ocean me dubne lagti hai aur yehi wajah hai ki agar koi swim bhi krna chahe to nhi kr pata kyuki hmari body ki density pani ki density se jyada ho jati hai.
  • Dusra karan yah hai ki Bermuda triangle ke aas pas ke area me chote-chote mountains hain, jb hawayein en mountains se takrati hai to halchal hone lagti hai jis halchal se yaha ek cyclone banta hai aur jahajo ka en cyclone me aane ke kaaran accident ho jati hai.
  • Third reason yeh hai ki ocean ke andr ke mountains upar se bahut chote dikhte hain but andr se bhot bade hote hain (titanic se takrane wala iceberg ) jisme Ships tkra ke dub jate hai.
Istockimages.net

Mysterious Facts | Bermuda Triangle | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

Written by Editorial Team

Healthy Lifestyle Ke Liye En 5 tips Ko Jaroor Apnaye

Perfect partner

Tips To Identify A Perfect Partner