in

LoveLove

Janiye Arijit Singh And Unke 34 Saal Ke Ab Tak Ke Safar Ke Baare Me

Arijit Singh India main ek bahut hi famous personality hai and ho bhi ku na, apne soulful voice ke saath inhone hum sabhi ka dil bahut baar jeeta hai. Arijit, India ke kuch sabse famous background singers me sae ek hai and Arijit apne stage performances ke liye pure world me famous hai. Arijit aaj 25th April, 2021 ko 34 saal ke hogaye and apne carrer ke top man rahte hua inhone Indian Music ko pure dunia main popular kia hai.

Arijit Singh doesn't like being called "a celebrity"

About Arijit Singh’s Journey So Far:

Arijit Singh nae apna musical debut 2005 me Sony Tv ek reality show sae kia jiska naam Fame Gurukul tha.  Arijit 18 saal ke tha jab unhone Fame Gurukul ke stage par debut kia. Arijit Singh woh show toh jeet nahi paye tha but woh stage unke life ke development ka ek bahut bada stage tha and who hamesha usse moment sae jude rahenge. Arijit Singh ki usse stage par mulakat India ke classical music ke legend Shankar Mahadevan sae hui and Arijit Singh ke according Shankar Sir nae Arijit ke carrer ke starting phase me bahut help ki thi. Arijit nae 2011 me Bollywood me debut apne famous song “Phir Mohabbat” ke saath ki thi but unke life ka sabse bada turn Aashiqui 2 ke saath aaya. Arijit apne song Tum Hi Ho ki wagah sae Bollywood me ek bahut bada naam ban gaye. Arijit Singh ka birth 25th April, 1987 ko West Bengal me hua tha. Arijit, Hindi aur Bengali languages me mostly perform karte hai but inhone English and kai aur languages me bhi perform kia hai.

Unseen Pics Of Arijit Singh

Arijit’s Achievements till now:

Arijit apne era ka ek bahut hi successful singer hai and inhe bahut log “King of playback singing” ke naam sae bhi jaante hai. Arijit ko apne world famous song “Tum Hi Ho” ke liye National Award bhi mil chuka hai. Arijit ko 6 Filmfare Award, 1 Stardust Award, 3 IIFA Award jaise prestigious award bhi mil chuke hai. Arijit ko 2016 me Forbes India magazine nae 100 Celebrity ke list me 15th Position par rakha tha. 2020 me Spotify India nae Arijit ko most streamed artist bhi declare kia. Arijit apne stage performances ke liye bhi bahut zada famous hai and inke stage shows me hamesha laakho ki crowd aati hai.

Some Most Popular Arijit Singh’s Songs:

Niche diye gaye links sae aap jaakar Arijit ke kuch sabse popular songs ko sunn sakte hai . Hope you enjoy them!

Tum hi ho:

Phir Mohabbat:

Phir Bhi Tumko Chahunga:

Agar Tum Saath Ho:

Tughe Kitna Chahne Lage Hum:

Bekhayali:

Khairiyat:


Arijit Singh | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

Written by Editorial Team

corona vaccine

Corona Vaccine: How To Make The Vaccine At Home!

CSK Vs RCB: The Contest Of Ice Against Fire!