Rajasthan Ki Khoobiya
Registaan ko koi wajhse jana jata hai marubhumi ne es desh ko koi surveer diya hai. Iske sath he yaha ke kile,raj mahal aur khas kar umaid bhawan palace,hawa mahal,chittod ka kila bhut prasidh hai. Yaha par upasthit 1,70,000 sq.km ka thar ka registaan duniya ka 17th sbse bada registaan hai.Registaan ka etihas bhi bhut gauravshali raha hai . Isi bhumi par pannadhai jaise ek veerangna hue jise apne kartavya ko sarvopari man kr. Uska nirwahan karne ke liye apne putr ki bhi bali de di.lekin aaj ham jis bare me baat kr rhe hai wah na to Rajisthan ke ithas ke bare me hai. Aur na he etihasik dharoharo ke bare me.yah hai ek pustakalai ke barr me. Ya ke sabse bade pustakalayo me se ek”Bhadaria library”ko apne andar sanjoe hue hai. Ji hn,yah Asia ke sbse bade pustakalayo me se ek hai.
Bhadaria Library Q Itni Famous Hai?
Yah library pokaran tahseel ke Bhadaria gao me bani hue hai. Aur sabse rohshak baat yah hai ki yah library. Zameen ke satah se 16 feet neeche underground me bani hue hai. Aur isme ek sath 4000 log baith kr yaha par kul 9,00,000 se bhi adhik pustake sangrahan krke rakhi hue hai.
Zameen ki satah se neeche hone ke karan yah library. Thar ki 50°C ke kareeb tapman ki bhayankar garmi me bhi sheetal rahti hai.
Iske itehas ko agar pade to yah Harivansh singh Nirmal ji ke dawara banai gaye hai. Jinke Bhadaria Maharaj ke nam se bhi jana jata hai. Unhe vibhin vishyo par kitab padhna bhut pasand tha. Aur isi shaukh ke chalte unhine duniya ke vibhin bhago se kitab ikhatta ke. Use padha aur yaha par hazaro kitabe aise hai jo ke unhe uphar me mili thi. Fr gao walo ne jab jb jagdamba mandir ke liye fund ikhta kiya to. Mandir ke sath sath es bhumigatन Library ka bhi nirman kiya.
Library Ki Khasiyat
Bhadaria gao ke niwasi ke anusar bhadaria maharaj ne warsho tak. Isi library me rhe aur waha par rhe aur lagbhag sabhi kitabo ko padha.
Is library me science aur Astrology se le kr history aur lagbhag har vishyo par kitab available hai.
Yaha pustake order me rhe isliye 562 kanch ki almariya bani hue hai jisme ye pustake rakhi hai. Iske sath is underground library me saf safai ka kafi dhayan rakha jata hai. Kitabo ko dhundhte waqt aapko ek zara sa bhi dhool ni mileyge khi. Is library ke maintainance me har sal lag bhag 6 se 7 lakh ka kharcha hota hai.
Hindustan ayr duniya ke kisi bhi kone se log aake yaha pustako ko padh skte hai. Abhi present me iska maintainance ka jimma Jagdamba sewa samiti ke hath hai. Har sal lagbhag 60,000 tourist yaha pustake padhne aate hai. Pustako ke shaukheen insan ke liye ya jagha kisi sapna sakar hone jaisa hai.
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin
[starbox id=erum]