Bharat Hamesha Se Hi Apni Sanskriti Ke Liye Jana Jata Raha Hai. Purane Jamane Ke Shaskon Duara Kai Sanrachnaye Banai Gayi. Jinmein Se Aaj Kai Aisi Imarton Ke Bare Hum Jante Hain Jo Bahut Hi Famous Hain. Is Time Maximum Sanrachnaoun Ko Tod Diya Gaya Ya Naye Shaskon Ke Shasankaal Mein Inka Navinikaran Kiya Gaya. Lekin Aaj Inki Care Na Kiye Jane Ke Karan Yeah Sabhi Sanrachnaye Apni Identity Khoti Ja Rahi Hain, Aur Inke Bare Mein Aam Janta Ko Pata Hi Nai Hai. Aaj Hum Aapko Aise Hi Kuch Historical Places Ki Information Dene Vale Hain Jinke Bare Mein Log Na Ke Barabar Jante Hain.
Bidar Fort
Dekkan Plato Mein Bana Bidar Fort Ko City Of Whispering Monument Ke Naam Se Jana Jata Hai. Is Bahmani Ismarak Ka Nirmaan 15vi Shtabdi Mein Hua Tha, Jab Sultan Allauddin Bahman Ne Apni Rajdhani Ko Gulmarg Se Bidar Mein Transfer Kiya Tha.
Sarkhej Roza
Ahemdabaad Ke Pass Makbara Village Me Isthit Sarkhej Roza Ek Masjid Aur Makbara Hai. Yeh Kabhi Soofi Sanskriti Ka Famous Centre Hua Karta Hai. Yaha Par Sofi Sant Shekh Ahmad Ganj Baksh Rehte The. Sarkhej Roza Ko Ahemdabaad Ka Ecropolis Kaha Jata Hai.
Salim Singh Ki Haveli
Jaisalmer Mein Isthit Salim Singh Ki Haveli Ko Year 1815 Mein Ek Majuda Haveli Ki Neev Par Banaya Gaya Tha. Ek Vishisth Shaili Mein Nirmit Imarat Mein Kai Dilchusp Properties Hain. Is Imarat Ki Ek Aur Properties Iski 38 Balkani Hai. Jinmein Se Har Ka Apna Alag Design Hai
Marble Palace
Marble Palace Kolkata Mein Raja Rajendra Malik Dura Banvaya Gaya Tha. Yeah Ek Aisi Sanrachna Hai, Jo Bangali Vastukala Ki Darshati Hai. Mahal Ko Puri Trah Se White Stones Se Banaya Gaya Hai Aur Iske Samne Ek Sundar Bageecha Hai. Yah Ane Vale Praytakon Ko Sahi Pariwaar ke Waris Dure Par Le Jate Hain. Bata dein Ki Waris Abhi Bhi Mahal Mein Rehte Hain.
Maluti Mandir
Jharkhand Ke Chote Se Sahar Maluti Mein 70 Se Jaida Teracota Mandir Hai, Jo Itihaas Ki Chap Chodte Hain. Yeh Bharat Ke Lupt Ho Chuke Historical Places Mein se Ek Hai. Is Mandir Koi Sakht Prabandhan Ki Jarurat Hai. Yeh Mandir Baaj Basant Raajvansh Ke Tahat Banaye Gaye The, Jo hindu Mahakavyon Ke Drshyon Ko Darshate Hain.
Kaanch Mahal
Kanch Mahal Akbar Ke Makbare Ke Pass Isthit Agra Mein Chukore Aakar Ka Kaanch Mahal Hai. Iske Nirmaan Mein Tile Work Hone Ke Karan Ise Kaanch Mahal Kehte Hain. Mahal Ko Mool roop Se Sahi Mahilaun Ke Niwaas Ke Roop Mein Banaya Gaya Tha, Lekin Baad Mein Ise Shikargrah Ke Roop Mein Use Kiya Gaya. Yeah Imarat ek Shaandar Bagiche se Ghiri Hue Hai.
Bharat Ke Kuch Ansune Andekhe Historical Places, Jinhe Na Kisi Ne Suna Aur Na Dekha.|Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin