in

Cartoons Like Shinchan, Doraemon, Tom & Jerry Ka Asli Sach

Shinchan, Doraemon, tom and jerry etc. kayee aise cartoon characters hain jinhone bachpan mein humein bahot entertain kiya hai par aapko jaan kar hairaani hogi ki inn sab cartoons ko kisi na kisi country mein ban kiya gaya hai.
Shinchan ko india mein, doraemon ko china mein and tom and jerry ko poore usa mein .is vedio me hum apke samne iske peeche ka reason batainge to ye vedio ant takk jarur dekhein

Pehle Baat Krte Hain Shinchan Ki

Bahot log kehte hain ki yeh ek Cartoon ke saath saath ek real life story hai jisme shinnosuke nohara ke bachpan mein car accident se death ho jaati hai jiski wajah se unki maa trauma mein chali gayi thii aur trauma mein voh shinnosuke ki drawings banaya krti thii, aur unme voh saari harkatein dikhaati thii joh shinnosuke kiya karta thaa. aage jaake shinchan ke writer ko Yeh show banane ka idea aaya. Jab yeh show bahot aacha chal raha thaa tab writer ne socha ki poori family ka ek car accident scene dikhaya jaaega par public ne uss scene ko cancel krne ki maang ki aur aaj bhi shinchan ke naye episodes bante rehte hain. Shinchan 2008 mein india mein bann hua thaa kyuki according to some parents iss cartoon mein kuch aise scenes thee joh unke bacchon ke liye inappropriate thee. Yeh problems spain, south korea and malaysia mein bhi hui thii par india ke fan ne dobaara se maang ki ki unhe yeh show dekhna hai and 2009 mein phir is show se ban hata diya gaya

India Ki Mysteries Ke Baare Mein Jaan Ne Ke Liye: Click Here

Agar Baat Kare Tom & Jerry Ki

iss cartoon ke baare mein ek fun fact hai ki Inka actual mein naam tom and jerry thaa hi nahi. Inke writers ne inka naam Jasper and jinx rakkha thaa but then iske makers ko yeh naam pasand nhi aaya and then ise change kr diya. but tom and jerry naam aaya kahan se tha?
Actually yeh tom and jerry ek cocktain drink ka naam thaa joh puraane zamaane mein bahot famous thii. Iss cartoon ko aaj tak 7 oscar awards diye gye hain par iske peeche ek dark story bhi hai. Iss show ko USA, brazil and other countries mein bann kr diya gaya kyunki iss show mein kayee racist jokes thee aur kayee scenes mein bahot hi violence dikhaayi gayi thi. Racism ke karan, tom and jerry ke kayee episodes toh dikhaayi hi nhi gye thee.

Hum Sab Ka Favourite Cartoon Character Doraemon

Doraemon ki agar hum literal japaneese meaning nikaalen toh uska mtlb hai stray male cat. Iss show ke creator hiroshi fujimoto ki life mein aise 3 events hue thee jisse unhe yeh show banane ka idea aaya. Hiroshi ek nayee idea ki khoj mein thee joh thoda atrangi ho aur bahot sochne ke baad unko yeh idea aaya ki kaash unke pass koi aisi machine hoti joh ideas generate kr paati aur help kr paati. Aur yahi sochte time unko yeh idea hit kiya. Doraemon ka end likkha bhi gaya thaa aur show bhi kiya gaya thaa. Doraemon ki battery sach mein khatam ho jaati hai aur voh chalna bandd ho jaata hai. Tabhi nobita name ke character ne socha ki voh itni padhai krega ki ek din voh doraemon ki battery bana ke hi rahega aur aisa sach mein hua. nobita ek robotic technician, robotics professor aur ek A.I Developer bann gaya aur saalon baad usne battery bana li aur doraemon phir se zinda ho gaya.

Toh yeh thii hamari teen favourite cartoon characters ki untold story. Inme se apka fav Cartoon character kon sa hai hume Zaroor bataiyega


Cartoons || Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

Written by Tannu Sharma

India Ki 4 Untold Unsolved Mysteries

Village On Sale: Sirf 2 Crores Me Khareede Poora Ka Poora Village!