Charlie Chaplin, 90’s ke kisi bhi bacche se pucho ke bhai tumhara konsa favorite cartoon tha, toh sabhi ke zuban pe aek hi naam hota tha. Haan aapne sahi pahechana unka naam tha Charlie Chaplin. Waise duniya toh unko Charlie Chaplin ke naam se jaanti hai par unka asli naam “Charles Spencer Chaplin” tha.
Duniya toh unko bas aek comic character ya bas aek cartoon samajhti thi but aap maanoge nahi who aek comic artist hone ke saath saath who aek director,composer,screen writer, producer aur editor bhi the.
Kya Hua Tha 16th April ko?
Time ka toh kuch pata hi nahi chalta hai jaise kal hi ki baat ho jab hum charlie chaplin ki cartoon movies dekh kar hassa karte the but iss 16th April 2021 ko Charles chaplin ki 131th birth anniversary manane mein aayi thi.
Is occasion par humare kuch chahete Bollywood stars ne twitter par Charlie Chaplin tribute dete hue kaafi tareef ke pull bandhe. Usme bhi Kangana Ranaut jiss ke tweets ke aajkal hum sabhi ko intezar rehta hai kyunki har koi tweet pe kuch na kuch controversy khadi ho hi jaati hai. To unhone bhi Charlie Chaplin ke liye aek appreciation tweet likha tha.
Charlie Chaplin Ne Kiya Tha Bollywood Mein Bhi Kaam?
Aap soch rahe honge ke sab Charlie chaplin ko bhul chuke honge. Par aise kai sare Bollywood films hai jo Charlie chaplin ke characters aur unki movies se inspired hai. Raj Kapoor jinhe hum sab jante hai unhe Bollywood mein chaplin raj! ke naam se bhi jaana jaata tha kyunki unke kaafi saare films jaise ki “Mera Naam Joker”, “Awaara”.
Sridevi in Mr India, Ranbir Kapoor in Barfii bhi kai aise films hai jo Charlie chaplin ke character se influenced hai.
Charlie Chaplin Ki Kuch Aisi Batein Jo Hume Aaj Bhi Hasaati Hai.
Charlie Chaplin ke yeh quote “A day without laughter is a day wasted” hume kai baar apne hi life mein apply karna chahiye. Uss zamane mein silent comedy yaani ki aek bhi dialogues bole bina agar audience ko hasa sakti hai. Jisko compare kare aaj ke cartoons aur comedy pictures ko jo kabhi itne saare dialogues bolne ke despite bhi humein kabhi hasi nahi aati.
Charlie chaplin aek aisa evergreen cartoon character jiski demand aaj bhi hai jiski wajah se uska animated versions aaj ke cartoon channels pe bhi kaafi viral hai. Ha maana ke Doraemon, Shin Chan aur Chota Bheem vagera sab apni jagah par jaise who bolte hai na “Baap toh Baap hota hai”.
Charlie Chaplin | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin