in

Covid-19 Hike In Our Country

Hmare desh mein COVID ke cases continuously badhti ja rahi hai, 17 april ko Delhi All India Institute of Medical Sciences ( AIIMS ) ke director Dr. Randeep Guleria ne kaha ki vaccination shuru hote hi logon ne covid protocols manna band kar diya, esi bich virus mutate ho gaya or yeh adhik teji se fail gaya. “COVID cases mein surge ke liye karan bahot se reasons ho sakte hain” Dr. Guleria ne kaha, but eske piche 2 main reasons hain :-

Common people have to wait till 2022 to get COVID-19 vaccine: AIIMS  Director Dr Randeep Guleria

Hike In COVID Cases

  • Jab january/february mein vaccination shuru ho gaya or graph niche gaye to logon ne COVID protocols/precaution manna bilkul km kar diya or es samay virus mutate ho gaya or yeh adhik teji se fail gaya. “hum healthcare system mein kaafi internal tensions dekh rahe hain”. Esliye hame COVID cases ke badhte numbers ke liye apne hospitals, beds, or healthcare infrastructure mein increment karte rahana hoga. Unhone ye v kaha ki hame COVID-19 cases mein bhi ASAP kami lani hogi. Indian Health Ministry ne aaj (17 april) covid ke sbse jyda 2,34,692 new cases report ki.
  • “Yeh ek aisa samay hai jab hamare desh mein religious activities, election polls, aur bhi bahut kuch hota hai. Hame samajhna chahiye ki life v important hai, hum ise restricted manner se kar sakte hain taki religious sentiments ko thes na pahunche or COVID protocols ka palan v kiya ja sake.

COVID-19 vaccination par Dr. Guleria ke comments anya experts se isi tarah se milte hain. Hmare desh ke kuch hisson se vaccination ke baad coronavirus infected cases ke mamalon ki information k beach, experts ne kaha hai ki COVID-19 ke khilaf vaccine “Deadly Virus se puri tarike se shield nahi karta hai, but infection ke severity or death ki chances ko km karne mein help karta hai.

Unhone yeh bhi kaha hai ki vaccination ke baad kisi tarah ke complications face karne ki baat clinical ya epidemiological studies me nahi paya gaya hai.

Vaccine Puri Tarah Se Safe Hai, Jaroor Lagwaye

Ek Kadam Rashtra Suraksha Ke Or


Covid Vaccination  | Rv Talks | Ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

Written by Editorial Team

Dostana 2

Dostana 2 Me Vicky Kaushal Ya Rajkumar Rao Ko Liya Jaye.

charlie chaplin

Charlie Chaplin- 90’s Ke Baccho Ka Favourite Cartoon.