in

WTFWTF

Yellow Fungus: Ab Fungus Khel Raha Hai Color Color!

Yellow Fungus

Yellow Fungus: Ab white aur black fungus ke baad Ghaziabad mein record hua hai first case of yellow fungus. Yellow fungus ko white fungi and black fungi se zyada dangerous maana jaata hai. The infected patient is currently undergoing treatment in a hospital in Ghaziabad.

Yellow Fungus

Yellow fungus ke symptoms ko dekha jaye toh laziness, loss of appetite and weight loss hai. Kuch serious cases mein puss formation, malnutrition and organ failure bhi ho sakta hai.

Causes Of Yellow Fungus.

Yellow fungus ka main cause bad hygiene hai. Isiliye yeh fact bohot important ho jata hai ki hum apne surroundings aur ghar ko clean rakhe. Jitna ho sake old foods aue eatables ko apne fridge se nikal de aur apne immunity ko boost karne ke liye healthy and fresh foods ka intake kare.

Yellow Fungus

Yellow Fungus Se Kaise Bache?

Humidity aek bohot important factor hai yeh type of fungi ko rokne mein. Humidity badhne se aise microorganisms ka khatra badh jaata hai. Bacteria ko dur rakhne ka correct humidity level hai 30%-40%. Acchi rainfall hone wali states mein usually moisture aur humidity zyada hota hai. Toh uss sab states ke logo ko khaas dhyaan rakhna chahiye yeh disease ka.

Abhi tak yeh toh saamne nahi aaya hai ki yeh disease mein most vulnerable kon hai. But hume abhi tak itni toh information hai ki people with a low immunity level and jin jin logo ko diabetes and cancer jaisi co-morbidites hai unhe thoda alert rehna chahiye. Kisi bhi type ke symptom dikhe toh turant hi apne doctor ko consult kare without any dealy. Yeh aek aisa disease hai jiss uske initial stages pe hi control kiya jaay toh zyada nuksaan hone ke chances kam hai.

Yellow Fungus

This type of fungi is generally found in the reptiles. Doctor Tyagi joh aek expert hai aise diseases mein unka kehna tha ki yeh type of infection pehli baar humans mein dekha gaya hai. Anti fungal drug Amphotericin-B is considered as the primary treatment for this disease.

Doctors ka kehna hai ki white and black fungus ke basic symptoms facial swelling, blackening or discoloration hai. But in case of yellow fungus yeh type bofy ko anadr se zyada effect karne lagti hai. Isiliye patiets ko advised hai ki jaise hi body fatigue or low appetite jaise symptoms body mein dikhe toh turant hi doctor ko consult kare bina zyada delay kiye.


Yellow Fungus | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

Written by AM

Kimchi Wars : Bacteria Causing Plague On Chinese Food

Government of India versus WhatsApp privacy policy Kon jitega??