2020 hum sabhi ke life ka ek bahut bada milestone hai joh hum kabhi nahi bhul payenga. Corona Virus Ke aane ke ek saal baad aaj Dunia Bhar me ise virus ka vaccine hai. India me  Bharat Bio-Tech nae Corona ke vaccine ko banaya aur isko COVAXIN ka naam diya. Yae Corona Vaccination 2 Dosage me sabhi ko milegi aur dono dosage ke beech me 28 days ka interval hoga. Isse Vaccine ko World Health Organization nae aur bhi bahut saari Medical Agencies nae approve kia hai aur ab yae vaccine pure dunia me export kia jaa raha hai.

Corona Vaccination in India, Covaxin
source : News18

Kis Stage Me Hai Humare Desh Me Corona Vaccination Ka Process

Humare country me Vaccination ka process 16th January ko start hua tha . Ab tak humare country me 7.91 Crore logo ko Corona Vaccination provide kar diya gaya hai jisme 6.86 Crore logo ko sirf first Dose mila hai and 1.05 Crore logo ko second dose bhi mil gaya hai. Abhi humare country me sirf 45 years ke above ke logo ko hi vaccine mil raha hai . Indian Medical Association nae badhte hua cases ko dekh kar Prime Minister se request kia ki 18 years ke above ke sabhi logo mae vaccination ka process start kar dena chahia . Government nae ek App bhi provide kia hai jiska naam CoWIN hai. Isse  app par hum khud ko Corona Vaccination ke liye register kar sakte hai. Government ka kahna hai ki next 4 months corona ke second wave ke liye bahut importanat hai .

Aarogya Setu gets CoWIN app integration: How to access Corona Vaccination  information
source : The Indian Express

India Me Corona Ke Cases ka Present Condition

Humare Desh ke kai states me abhi Corona ka Second wave chal raha hai . Abhi hamare desh me sabse zada corona ke cases Maharastra me hai aur issi wagah se wahaa ab phir se lockdown ke process start ho gaye hai.  Sabse  zada difficult case abhi Chattisgarh me hai jaha positive rate 20 hai aur growth rate 8 par chal raha hai.  Punjab me abhi  80 percent joh corona ke cases hai woh UK variant ke hai. Government jaldh hi Vaccination Certificate bhi nikal sakti hai jiska hona kisi bhi public place me entry karne ke liye jaruri hoga. India ke Union Minister, Dr Harsh Vardhan ka kahna hai ki India me recover rate 92.48 percent hai joh ki ek bahut achi news hai aur fatality rate 1.30 percent hai.

Corona Vaccination Kae Worldwide Stages

Dunia bhar ke kai sabse bade countries me corona ka abhi 4th wave chal raha hai. Bahut se aise bhi countries hai jaha Corona Vaccination ka process almost complete ho chuka hai. United States me ab tak sabse zada logo ka Vaccination hua hai ,  167 Million logo ko dosage diya jaa chuka hai and 19 percent logo ka Corona Vaccination complete hogaya hai. China me 143 Million logo ko Vaccine diya ja chuka hai . United States me 37 Million logo ko corona vaccine mil chuka hai and waha ke total 8.2 percent logo ka vaccination complete hogaya hai.

Hum ummed karte hai ki aap sabhi safe honge aur proper social distancing ko maintain kar rahe honge.

More Than 689 Million Shots Given: Corona Vaccination Tracker
source : Bloomberg.com

Corona Vaccination | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

You May Also Like

Tenet | Christopher Nolan Ki ‘Tenet’ Amazon Prime Par Hue Release

John David Washington ke sath dete hue Robert Pattinson aur , Elizabeth Debicki, Dimple Kapadia, Kenneth Branagh, Aaron Taylor Johnson, Michael Caine and Clemence Poesy jaise diggaz milenge movie me.

Kya Is Actor Ko Date Kar Rahi Hain Huma Qureshi? Sonakshi Ki Shadi Ki Tasviron Ne Khola Raaj

Director Mudassar Aziz Se Breakup Ke Baad Huma Qureshi Ka Naam Pichle…

Kamal Hasan Starrer “Indian 2” Ka Dhamakedar Trailer Release, DamdaarAction Se Public Ke Udaye Hosh.

Kamal Hasan Apni Blockbuster Film Indian Ka Sequel Lekar Wapas Maidan Me…

Smriti Irani Birthday Special: Jab Politics Me Aane Ke Baad Gae Tulshi

Film industry me jaane ka sapana har kisi ka hota hai. Koe…