Aapko bata dein ki en dino Corona Virus ko lekar social media pe ek message kaafi viral ho rahi hai. Viral Message ke according coronavirus se hui deaths ke piche ki wajah “virus” nahi, 5G Networks se nikalne wali “Electromagnetic Radiation” btayi ja rahi hai.
Source
Viral Message …
Viral Message ki mane to Italy pure world me pehla aisa country ban gaya hai jisne kisi Covid-19 Patient ka post-mortem kiya ho. Reports ke according ye bhi bataya ja raha hai ki patient ke body me kisi tarah ka “virus” nahi paya gaya, logon ki deaths Electromagnetic Radiation se ho rahi hai aur yeh “Corona Virus” sirf ek Global Scam hai.
Aaiye Ab Esi Virus Se Related Kuch Facts Ko Jante Hain
Italy wo pehla desh nahi hai jisne kisi Covid-Positive patient ki post-mortem ki ho. Italy se pehle US aur China jaise countries ne bhi espe apni autopsy report jari ki hai. Esko lekar Italy ke Ministry Of Health ke taraf se bhi koi official notification jari nahi ki gayi hai jisse es viral message ki authenticity confirm ho sake. Viral Message ki mane to Italy me W.H.O ( World’s Health Organisation ) ke jin protocols ko break karne ki baat kahi gayi hai, reality me W.H.O ne waise protocols kabhi bnaye hi nahi.
“5G Electromagnetic Radiation” ke wajah se logo ki deaths ho rahi hai, ye baat kehna kahin se bhi justified nahi hai. Scientists ke according ‘‘Corona Virus’’ se ho rahi deaths ki wajah SARS-Cov-2 named virus ko bataya gaya hai jiska “Electromagnetic Radiation” se door door tak koi relation nahi hai . Aisi koi bhi reports avi tak publish nahi hui jisme electromagnetic radiation ko human body ke liye deadly proven kiya gaya ho. Aise bahot se countries hain jahan avi tak 5G implementation nhi hui, toh un countries me Covid-19 kahan se aaya ? Aur to aur radio waves, non-ionising radiations bhi kehlate hain jiska clear-cut meaning hai ki we human body ke DNA cells me kisi tarah ke changes nahi la sakte, fir 5G ko Covid-19 se ho rahi deaths ke piche kaise bataya ja sakta hai ?
Viral message me yeh bhi claim kiya ja raha hai ki Corona Virus ko Antibodies, Anti-flammatories, ya Aspirin jaise medicines se easily cure kiya ja sakta hai. Aapke better knowledge ke liye bata dein ki en me se koi bhi Covid-19 ke liye prescribed medicines nhi hai. Kyunki agar aisa hi hota toh sare countries Labs aur Vaccine Development pe crores kyun spend karte ? Aur jab antibiotics hi es Virus ka solution hai toh fir etne log hospitals me kya kar rahe hain ? avi tak to sabhi patients cure ho jane chahiye the.
Mostly, es Viral Message me kahi gayi sabhi baatein galat hai aur enka real life situation se koi relation nahi hai. As an aware citizen, aise kisi bhi message ko forward karne se pehle hmari responsibility banti hai ki ham enke authenticity ko check kar lein. Kyunki aapki aur hamari ek galti ke wajah se kaafi log affected ho sakte hain
Yaad Rkhein “ Do Gaj Doori, Mask Hai Jaroori “
Viral Story | Corona Virus Update | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin