in

WowWow

Vladimir Putin Rahenge 2036 Tak Russia Ke President

Vladimir Putin as President till 2036
source : The Indian Express

Vladimir Putin ek baar phir banenge Russia ke President.

Vladimir Putin last 20 years se Russia ke President ke position par hai.  6th April ko Russia ke President nae Moscow ke Kremlin me ek meeting attend kia jisme unhone ek law ko sign kia joh unhe 2 aur baar Russia ka President ke Position par rakhegi . Ab tak sabse lambe time tak power me rahne wale leader Joseph Stalin tha , joh 1922 se lekar 1953 tak power me tha. Joseph Stalin 1922 se lekar 1953 tak  Soviet Union ke Communist Party ke Secretary General tha.  Russia me Putin ko re-elect karne wale law ke liye voting hui aur 78 percent Russians nae iske support me vote kia .

 Vladimir Putin Signs Law Paving Way to Rule Until 2036 - The Rv Talks
source : The Moscow Times

About Vladimir Putin:

Vladimir Putin abhi 68 years ke hai aur woh ek former intelligence officer hai. 2021 me Putin 4th time as a Russian President power me hai and unka ye tenure 2024 me complete hogi. President rahne ke pahle Putin Russia ke Prime Minister bhi rah chuke hai. Vladimir Putin dunia ka ek bahut hi powerful figure hai and second sabse powerful country ke representative. Putin 1996 me Moscow aaye tha aur President Boris Yeltsin ke administration ko join kia tha. Putin pahli baar 1999 me Prime Minister elect hua and then 4 months baad President ke position ke liye elect hue. Putin again 2004 me Presidentship ke liye elect hue . Constitution ke restriction ki wagah se woh 2008 se 2012 tak Prime Minister rahe and phir 2012 me President ke position ke liye wapas elect hue. Vladimir Putin 2018 me phir President ka election jeet gaye and 2021 me law changes karne ke baad ab woh 2036 tak Russia ke President rah payenge.

Vladimir Putin Reveals How His Helicopter Came Under Fire in Chechnya - The Rv Talks
source : Sputnik News.

Political Condition in Russia in 2021 :

Russia me opposition ka kahna hai ki voters ko pressurized kia gaya tha voting ke liye. Russia me opposition ka sabse prominent figure Alexei Navalny hai.  Alexei Navalny ko bhi imprisoned kar diya gaya hai and ab unke health me issues ke news aa rahe hai. Putin ka kahna hai ki ise naye law se unke lieutenant apne works par zada focused rahenge . Vladimir Putin nae kaha hai ki woh election ke baare me 2024 me sochenge and abhi ke liye apne country ko serve karenge.

Russian court orders opposition leader Alexei Navalny to serve more than  two years in prison
source : France 24

Vladimir Putin | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

Written by Editorial Team

Firse Gehraya Coronavirus Aur 5G Radiation Ka Suspense

Sooryavanshi ki release date phir hui postpone