in

Covid-19 De Sakta Hai Aapko Mental Trauma Padhe Poori Khabar

Nayi researches me btaya gya hai ki COVID-19 ke patients me Confusion, Behavioural Changes, and Brain Complications etc. dekhne ko mil rahe hai. And Kaafi sare Data se pta chala hai ki is bimari ke patients par ek neurological effect pad sakta hai. And Isse pehle April me, Journal of Medical Virology ke ek article me paya gya. That Coronavirus sirf Respiratory Tract tak hi seemit nahi rehta. But ye patients ke nervous system tak ko affect karta hai and neurological disease invade kar deta hai. And yeh patients ke nervous system me jaake brain ke cells ko damage karta hai. Although Research me pta chala hai ki brain ki cells ke ander virus ke particles paaye gye hai. Including the brainstem jo breathing ko regulate karti hai.

coronavirus news: Economic life after Covid-19: Lessons from the ...

Ab London University ke Researchers ne paya hai ki kuch hospital me admit COVID-19 patients me Confusion, Behavioural Changes. And Brain Complications, stroke, psychosis and dementia-like syndrome or bhi bhut sari dimagi bimari ke signs dikhayi dete hai. COVID-19 ki last stage ke time UK ke hospitals me 153 patients ko treat kiya gya. Ek report ke mutabik neurological and psychiatric complications ke range ko batata hai. Jo ki disease se link ho sakta hai.

Stroke Is The Most Common Brain Complication

Strokes Linked to COVID-19 Are More Severe, More Likely Embolic

Brain stroke Jo bahut hi common brain complication observe ki gyi hai. Jo ki 125 me se 77 patients me payi gyi hai. And Isme se 57 patients ke dimag me blood clots ki wajah se stroke hota hai. Because of that ischaemic stroke ke naam se Jana jata hai. 9 patients ko Brain Haemorrhage ki wajah se stroke hota hai. And 1 patient ko brain ki blood vessels me inflammation ki wajah se stroke hota hai. Un patients me se 74 ke liye age data available tha. Jinhone stroke ko experience kiya tha and a majority 60 years ke age wale the.

Encephalopathy, Inflammation Of Brain May Happen 

Breaking News! Coronavirus Can Also Attack The Nervous System ...

Researchers ke mutabik, total 39 patients me confusion ki state and behavioural changes ke sign mile. Inme se 9 patients me brain dysfunction tha. Jise encephalopathy ke roop me Jana jata hai. And 7 patients me brain inflammation ki problem thi. Jisko medically encephalitis kaha jata hai. Altered mental state waale lagbhag 27 patients the. Researchers ne kaha hai ki ve iski possibility ko bahar nahi kar sakte. Ki ye patients COVID-19 ke develop hone se pehle anjaane the.

More Information Needed To Understand Virus, Experts Say

Ye data hospital me admit patients me COVID-19 ki brain-related complications ke snapshot ko represent karta hai. And Researchers ne kaha ki ye important hai ki ve is information ko puri tarah samjhane ke liye. Pehle isko acchi tarah jaan samjh le or facts collect kare.

Also Read: Latest Stories from on EntertainmentLifestyle and Currently In Trend

Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe & share kare apne friend circle me. Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare hame  Facebook Instagram Twitter Linkedin par

What do you think?

Written by Ratnakar Upadhayay

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

Realme C11 Launch, Specification, Price Aur Photos Hue Leak

Things You Need To Know About PTSD And Depression Today In 2020