in

WTFWTF

Covid Vaccine Price Per Dose : Aasmaan Chute Hue

Jaisa ham dekh rahe Hain Bharat biotech Ho Gaya, serum institute Ho Gaya sabke dwara alag alag price diye ja rahe Hain corona vaccine ke liye. Bharat biotech ka kehna Hai 600 rupees aur private hospitals ke liye 1200 rupees. Aur kal hi khabar aai thi ki jo serum institute hai unhone 400 se ghatakar 300 kar diya hai state government ke liye. Ini khabron ko lekar supreme court mein sunwai chal rahi thi.Covid Vaccine Price Per Dose sab alag alag bata rahe hai.

COVID-19 vaccination for all above 18 yrs from 1 May: Pricing to supply  explained in 10 points
Covid 19 vaccine

SUPREME COURT ON COVID VACCINE PRICE PER DOSE:

Unhone bola different manufacturers come with different prices.To unhone kaha ki isko lekar kya Sarkar kuchh rasta nikal sakti hai. Kya koi aisa Kanoon Hai jisse ham Covid Vaccine Price Per Dose ko lekar sakht karyvahi kar sake. Isiko lekr supreme court ne central government se clarification maanga. unhone poochha kyon ye sabhi companies alag alag prices bata rahe hain #covid vaccine per dose price.

kya koi common price nahin ho sakta. Kyon state government ko jyada pay karna pad raha hai aur kyun Central government kam pay kar rahi hai. Aur kyon private hospitals ko mehnge mein diya jaa raha hai.

QUESTIONS ON COVID VACCINE PRICE PER DOSE:

Supreme court ke judge ne ye bhi sawal uthaya ki jo drugs control act aur patent act hai iska istemal Sarkar kab kregi. Agar is time nahin karegi To Kab karegi . kiska intezar kar rahi hai sarkaar .Hamare Desh mein itni buri situation hai lekin fir bhi iske upar dhyaan hi nhi diya jaa raha.

COVID-19 vaccine: Case now to ramp up supplies at lower prices, says expert  - The Financial Express
COVID 19 VACCINE

Lekin is law mein Ek dikkat Hai Jo DPCO Hai wo patented drugs ke upar nahin lagaya ja Sakta. Aapko Laga hoga kuchh hafto pahle remdisivir ka bhi price kam Kiya gaya tha to wo kaise. Uska price company ne voluntary roop se khud hi Kam kiya tha na ki DPCO ke antargat.

ACTS | COVID VACCINE PRICE PER DOSE:

The epidemic act 1897 and the patent act 1970:

Iske anusaar government act mein changes laa sakti hai.Sarkar agar khud ke liye koi drugs produce karana chahti hai to wo doosri company ko bhi kah sakti hai ki aap mere liye yahi same drugs banaaiye us company se lekar. Desh mein agar koi bahut bada disaster aata hai to government ko compulsory licensing kar deni chahie.

Jo bhi company ye drug bana rahi hai. US company ka patent Bina uski ijazat se kisi dusri company ko de degi. Taki jyada se jyada us drug ka production ho sake us country mein.#Covid vaccine price per dose

Covishield 'immunogenic and safe', says Serum Institute as participants  seek explanation

Lekin cheezein se itni aasan nahi Hai agar Sarkar ekadam se keh degi vaccine 400 ki nahin 200 ki dijiye to koi bhi company next time se Bharat mein aana pasand nahin karegi kyunki unhen lagega Sarkar apni Marzi se price change kar sakti hai. Aur mostly companies dusre countries mein kyon jaati Hai taki unhen profit Ho.

#COVID VACCINE PRICE PER DOSE


Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin

What do you think?

Written by SG

Janiye World Labour Day ki Importance And Iske Society Ke Upar Influence Ke Baare Me

Beach

Beach: 5 Beaches To Visit In India Other Than Goa!