Microsoft aajkal Discord ,jo ki ek video game chat community hai, ko acquire karne ki planning kar raha hai for more than $10 billion.

Microsoft in talks with Discord over $10 billion-plus acquisition: report -  The Verge
Source – https://www.theverge.com

Also read : Petrol Aur Diesel Ke Prices Girne Ke Ban Rahe Hai Chances

Discord Ki Growth

San Francisco me based Discord ek game centric chat platform ki tarah start hua tha but over the years, Discord a place to talk ban chuka hai. Discord users aur gamers ko video se communicate karne, voice calls/messages aur texting jesi free services provide karta hai. 2020 me pandemic ke time logo ne Discord ko study groups, dance groups aur book clubs etc. kelie bhi use kara hai. Discord ka user base 100 million active users se bhi jyada ka hai.

Also read : Nazara Technologies IPO Allotment Status

Microsoft Ki Buying Streak

Last year se Microsoft continuously assests acquire karne me laga hai. Pehle Microsoft TikTok aur Pinterest Inc. ko acquire karne ki tayari me tha. Microsoft ne recently ZeniMax Media Inc. ko $7.5 billion me acquire kara tha. Microsoft ka Xbox business bhi continuously expansion par hai isliye vo Discord ko acquire karne ki planning me hai.

Also read : OnePlus 9 Series Huyi Launch : Jaaniye Products; Features Aur Prices

Sale

Discord already Amazon.com Inc. aur Epic Games Inc. se discussions kar chuka hai. Epic Games Inc. aur Amazon.com Inc., dono ne hi is mamle par comment karne se mana kar diya hai. Discord pichle saal $100 million raise karke apni valuation $7 billion kar chuka hai. Microsoft ka Discord ko khareedne ka motive yahi hai ko vo apne gaming business ko reshape aur expand karne kelie ready hai.

Also read : Royal Enfield Ne Launch Kari Nayi Interceptor Aur Continental GT : Jaaniye Price, Features


Ab Rv Talks telegram par available hai to turant hi hamare telegram channel ko join kariye so that koe bhi update miss na ho. Aap hamse hamare social media channels par bhi connect ho sakte hai. Facebook Twitter Instagram Linkedin

You May Also Like

Tenet | Christopher Nolan Ki ‘Tenet’ Amazon Prime Par Hue Release

John David Washington ke sath dete hue Robert Pattinson aur , Elizabeth Debicki, Dimple Kapadia, Kenneth Branagh, Aaron Taylor Johnson, Michael Caine and Clemence Poesy jaise diggaz milenge movie me.

Kya Is Actor Ko Date Kar Rahi Hain Huma Qureshi? Sonakshi Ki Shadi Ki Tasviron Ne Khola Raaj

Director Mudassar Aziz Se Breakup Ke Baad Huma Qureshi Ka Naam Pichle…

Kamal Hasan Starrer “Indian 2” Ka Dhamakedar Trailer Release, DamdaarAction Se Public Ke Udaye Hosh.

Kamal Hasan Apni Blockbuster Film Indian Ka Sequel Lekar Wapas Maidan Me…

Smriti Irani Birthday Special: Jab Politics Me Aane Ke Baad Gae Tulshi

Film industry me jaane ka sapana har kisi ka hota hai. Koe…