in

Top 6 Social Media Platforms for Business

What is Social Media Marketing?

Social Media marketing ek strategy of marketing hai jisme businesses different Social Media platforms use karte hai apna products and services promote karneke liye.

Social Media ek kaafi accha platform bann chuka hai to promote your business. Abhi yehi trend hai ki aapke business ka success depends on aapke kitne followers hai social media pe. So yeh bahut important hai ki aap iska ka sahi se istemal kare.

Social Media

Marketing strategy

Kisi bhi platform pe apna idea promote karne se pehle kuch points ka dhyan rakhna zaroori hai.

  1. Social Media Marketing se aap kya achieve karneki koshish kar rahe ho
  2. Aapka target audience kon hai?
  3. Aapke audience social media ko kaise use karte hai n konsa?
  4. Aap kya message spread karna chahte ho.

So lets see top 6 aise platforms jaha aapke business ka presence hona hi chahiye.

Facebook

Facebook world ka sabse bada social media platform hai. Yaha aapko kaafi acchi marketing karne ka mauka mil sakta hai. Plus Facebook khud kaafi saare marketing features provide karti hai clients ko like Facebook feed jaha koi bhi updates post kar sakte hai. Dynamic Video retargeting campaign bhi kaafi effective technique hai and paid adversting toh sabse famous advertising strategy hai jo almost saari badi companies use karti hai. So jald se jald Facebook pe apne business ka page zaroor bana dijiye.

Instagram

Instagram ek picture sharing social media platform hai. Client and customers kaafi pasand karte hai apna photos regular share karna. Instagram ka sabse famous feature Hashtag is useful. Apne har post ke saath relevant tags use karke customers ko attract karneke liye. Giveaways, prizes and promotional offers deke bhi customers ko attract kiya jaa sakta hai. Accordingly aap bhi regualarly contests oraganize kare taaki zyada se zyada log aapke page ko visit kar sake and isse aapka page zaroor jaldi popular ho jayega.

Yelp

Yelp ek idea social media platform hai for businesses because yelp pe customers aapke business products and services ka review de sakte hai. Isse dusre customers ko idea milega in choosing your product. So ek accha tareeka hai business grow karneka. Most importantly yeh ensure kare ki aapke customers Yelp pe jaake reviews likhe. Iske liye aap unhe discount offers bhi de sakte hai. As a result woh pakka review likhna nahi bhulenge.

YouTube

Youtube one of the best and effective way hai to promote your business. Aap real life videos banake logo ko achese apne product and services ke baareme me bata sakte hai. Youtube pe Paid Ads ke through advertisement is one of the best way for promotions. So Youtube bhi accha platform hai to showcase the reality of your business.

Twitter

Twitter bhi kaafi accha social media platform hai to make or break your reputation. Bas ek tweet se aapka business raat-o-raat viral ho sakta hai. So sab yehi koshish me lage rehte hai ki unka ek tweet bas viral ho jaye. 140 characters se banata hai tweets. Similarly to Instagram, as we know Twitter pe bhi hashtags use karke tweets ki popularity bada sakte hai. Ek tweet ka popularity is based on likes and retweets. So ensure kare ki aapke customers yaha bhi aapke acche aache reviews tweet kare.

Linkedln

LinkedIn bhi ek popular website hai for business marketing. Isse generally business serelated professional posts, goals, objectives and content share karneke liye use kiya jatahai. Yaha Connections banake like-minded logo ke saath interact kar sakte hai.

In conclusion, yeh yaad rakhna zaroori hai ki social media ko use karna alag baat hai n use apne business ke liye strategically use karna dusri baat hai. Marketing ke liye analytics based tools ,monitoring and engagement wagera ka kaafi dhyaan rakhna chahiye. So Yeh important hai ki hum sahi platform use kare taki hamare business acchese expand ho sake.


What do you think?

Written by Ratnakar Upadhayay

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

Australia vs India: 2nd T20 Preview