Earth day kya hai, aur kyu usse iss din pe celebrate kiya jata hai aise kai saare questions honge aap logo ke dimaag mein. Iss din ko isiliye celebrate kiya jata hai kyunki iss din Global Warming se humare palnet Earth ko kitna nuksaan pahonchta hai who discover kiya gaya tha.
Aap logo ye jaan kar kaafi surprise hoga ki 2021 year mein Earth Day ka 51st anniversary hai. Iss saal ka theme “Restore Our Earth Hai.”
What Is Earth Day?
UN Secretary Antonio Guterres ka kehna yeh hai ki “Recovery from the pandemic is a chance to set the world on a cleaner, greener and more sustainable path.” 2009 mein UN ne April 22 ko “International Mother Earth Day.” Announce kiya tha.
Kai saare cities Iss din ko Earth Week ke form mein bhi celebrate karte hai. 16th april se 22nd april ko yeek week ki tarah celebrate kiya jata hai.
Garmi Mat Badhao Pe!
Global warming aur uske dangerous effect hum sabhi ne 7-8 Standards mein kahi na kahi toh padha hota hai. Plastic ka din bhar din usage badhna global warming, Vehicles se pollution, factories se harmfull gases eject karna, yeh sab global warming ko aur bhi zyada badhata hai. Humare cities ke har saal summers mein temperatures badhna aur winters mein thandi badhna yeh sab global warming ka khel hai.
Harr Jagah Plastic.
Plastic ka usage is one of the most threatening factors global warming ko badhane mein. Aek chota sa example aapke dhyaan mein laana chahenge. Pahele ke times mein animals jaise ki cow, buffaloes ko ghaas aur hay khilaya jata tha jo unke growth aur milk formation mein help karta tha. But aaj kal ki cows jo road par hoti hai unke ghaas ke bajay plastic polythene khaane ke dinn aa gaye hai!
2012 Film ki tarah agar humne sahi wakht par humare planet ko nahi bachaya toh sahi wakht aane par humara planet bhi hume nahi bacha payega.
Earth Day 1969 mein Santa Barbara oil spill ke wajah se trigger hua tha. Aur uske next half century tak Earth day ne aek important role play kiya tha enviornmental activism mein. Last mein toh yehi kehna chahenge “Planet Bachao Aur Planet Aage jaakar tumhe bachayega.”
Earth Day Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin