in

LoveLove WowWow

Ek Aisa Teacher Jisne Apne Sone Ki Angoothi Bech Di, Sirf India Ko 70 Champions Dene Ke Lie

Aamir Khan ki film Dangal ka ek dialouge kaafi mashoor hua tha aur hai bhi, “Mhaaree chhoriyaan chhoron se kam hain“. But in reality ye india me to kaafi tough hai. As in aadhi se bhi jyada abaadi ko ise reality me convert karne ke lie jung ladni padti hai. Agar ladko se mukabla karna ho to bhi theek hai kaafi easily kar sakti hai aur jeet bhi sakti hai. But ye situation tabhi ban sakti hai jab vo maidan me apne kadam rakhe. As if now to vo ghar ki char diwari hi laangh de vo hi badi baat hai.

Source: thebetterindia

Bihar ke Sivan district me ek gaav hai Laxmipur. Jaha ek teacher aur unke saath lagbhag 55 ladkiya daily paseena baha rahe hai. So that society ki iss soch me badlav la paae.

As per the reports of The Better India, Sanjay Pathak jinki age lagbhag 47years ki hogi and by profession ek government school teacher hai. Vo laxmipur gaon me ‘Raani Laxmibai Sports Academy’ run karte hai. Iss academy me ladkiyo ko free of cost sports training provide ki jaati hai. Aapko bata de ki Sanjay Ji yu to Geography ke teacher hai aur officially to sports coach bhi nahi hai, then too unhone last 10 years me 70 plus National aur International players diye hai Football, handball aur athletics jaise games ke lie.

Well, ye story 2009 me shuru hue thi, jab Sanjay Pathak ki posting Adarsh Government School me hue thi. That time do ladkiya Taara aur Putul Khatun local tournaments me participate karna chahti thi, but Sanjay permission dene me thoda jhijhak rahe the. Although at last unhe permission deni padi ladkiyo ki zidd ke chalte.

Source: thebetterindia

Then jo hua uski umeed to shayad khud Sanjay ne bhi nahi ki thi. Ladkiyo ne athletics me gold medals jeete. Thereafter unhone Panchayat Yuva Khel Abhiyan ke tahat district and state levels par different categories me gold, silver and bronze medals jeete.

Man Badla Aur Shuru Hogya Safar Duniya Ka Man Badlne Ka

Iss incident ne Sanjay ko conventional academic teaching ke beyond sochne par majboor kar diya. Unhone socha jab ladkiya bina kisi training ke gold medals jeet sakti hai then after training to kamaal hi kar dengi. Phir kya tha school ke baad aur pehle Sanjay ne training deni start kar di. And thereafter unhone kabhi bhi peeche mud kar nahi dekha.

Over the next couple of months, Tara aur Putul se inspiration lekar Gaon ki around 100 ladkiya football, rugby, handball and athletics jaise khelo ke lie Sanjay ke iss mission se Judi. Sanjay khud youtube aur online mediums ke through football ke baare seekhna shuru kiya.

Unhone ye bhi bataya ki Ladkiya kheto me kadi mehnat karti thi. And unme endurance, stamina, strength ke sath hi kaafi jyada patience bhi tha. Bas kami thi to sirf aur sirf training ki. As in Sanjay ko khelna nahi aata tha, then too ladkiyo ko training dena shuru kar diya.

Finally Ladkiyo aur unke coach Sanjay ki mehnat rang laane lagi. 19 November 2009 tak, Sanjay ke pass district aur state-level par competition ke liye ladkiyo ki football team tyaar thi. In ladkiyo ne kae competitions me participate kiya aur popularity bhi gain ki.

Unhi me se ek thi Amrita Kumari, jinhone ne 2013 me France aur Srilanka me under-14 category me football khela tha. And iske saath hi 2015 ke Under-14 ki National Football team ka hissa banne vaali Nisha Kumari bhi Sanjay ki student rahi hai.

Sanjay ne Football ke sath hi handball aur Athletics ki bhi team tyaar ki hai. Unki train ki hue ladkiyo ne Nepal, Tajikistan, Beirut, Lebanon aur bhi kaee National Game events me India ko represent kar chuki hai.

Ladkiyo Ko Training Dene Ke Lie Girvi Rakhva Diye Biwi Ke Gehane

Source: thebetterindia

Ladkiyo ki training ke lie Sanjay ko paiso ki jarurt thi. Unhone 2009 me ek trust start kiya, but gaon vaalo se unhe help ki koe umeed nahi thi. Ab aise me players ke lie khelne aur khaane-peene ke samaan ka intezaam vo apne salary se hi karte the. Iske alawa unhone apni gold rings ko bhi bech daali so that ladkiyo ki training me koe dikkat na ho. Along with that unhone apni wife ke jevar ₹35,000 me girvi rakh diye. However, unki family ko unka ye tareeka acha nahi laga. Unki family aksar hi unse ye pooch karti thi ki vo desh ki seva kar rahe hai ya ghar ko Khali karne me lage hue hai.

Ladkiyo Ke Chote Kapde Pehan Kar Khelne Par Uthe Kaee Savaal

Sanjay ne bataya ki log unse akasar hi ladkiyo ki trainig ko lekar saval kiya karte the. Like, ve chote kapde kyu pehan kar khelti hai? Ladko ki tarah kyu rahti hai? And iske sath hi log unpe gaon ka mahol bigaadne ka aarop bhi lagaate rahe hai.

Ye sab yehi khatm nahi hua, Gaon ke hi kuch yuvao ne ladkiyo ko harass kiya aur ashleel gaane bhi gae. Jis school ke maidan me ladkiya training karti thi, usme koode aur kanch ki bottles tod kar dal diya karte the.

Sanjay kahte hai ki logo ne ladkiyo ko shorts aur t-shirt pehne Dekha to unke character par questioning bhi ki. But kisi ne bhi unke phate hue joote nahi dekhe, jiske sath un ladkiyo ne training ki. Finally, ladkiyo ki training ke lie apni family se 2acre zameen li aur uspe ek ground tyaar kiya.

Sports Ki Vajah Se Hi Jobs Bhi Paa Rahi Hai Ladkiya

Ab jaisa ki har ladki sports ko continue nahi kar paati. Aise me Sanjay unki studies me help karte hai so that vo economically strong ho sake. Sanjay ki hi train ki hue Radha Kumari iska sabse bada example hai. Radha National Handball team ko represent karti hai and ab vo ek A-grade national refery hai. Iske saath hi sports quota se unki government job bhi lag gae hai.

Vahi doosri taraf Sanjay ki hi train ki hue Amrita Kumari hai, Jo 21 years ki hai aur aaj bhi khel rahi hai. Bata de jis ilaake se vo aati hai agar aisa na hua hota to unki shadi 5 saal pehle hi kar di jaati.

Dheere-Dheere Hi Sahi But Haalat To Badal Rahe Hai

Sanjay ke trust me gaon vale na sahi but outsiders thodi bahut help karne me lage hue hai. Koe monetary to koe shoes, football jaise saman dekar hi help karne me lage hue hai. Last kuch saalo me UK, Neitherland aur America ke kae organisation bhi Sanjay ki help karne ke lie apne haath badhae hai. 2020 me unhe Dream Sports ka bhi support mila tha.

Source: thebetterindia

Coach Sanjay ne kaha pichle kae saalo se bina kisi sarkaari madad ke ye kaam karte aa rahe hai. After retirment bhi ladkiyo ki help ki jarurt nhi hai unko. But vo ye jarur chahte hai ki ye ladkiya jinhe unhone trained kiya hai, vo aage chal kar doosri ladkiyo ki help ke lie academy ko support kar sakti hai.


Also Read: Latest Stories from on EntertainmentLifestyle and Currently In Trend

Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe & share kare apne friend circle me. Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare hame  Facebook Instagram Twitter Linkedin  | Pinterest par

 | Website

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

What do you think?

12.5k Points
Upvote Downvote

Written by Ratnakar Upadhayay

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

Renault Kiger Aaj Ho Rahi Hai Launch, Shandar Style Aur Features Vali Ye Compact SUV Mil Sakti Hai Sirf 5 Lacs Me

Janiye SRK Ne Kaun Sa Aisa Project Liya, Jo Bani Bollywood Ki Pehli Film Duniya Ke In 4 Places Par Shoot Hone Vali