Maximum log  satisfying sex ko life ke extreme happiness me se ek maante hai. Ye kahna bilkul bhi galat nahi hoga ki healthy sex life ek healthy life ki nishani hai. But sexual satisfaction ko define karna kaafi muskil bhi hai. Is elusive concept ko samjhane ke lie na jaane kitne hi sceintists ne poora dam kham laga diya so that vo key mil pae jisse ham bedroom ki is playing activity ko ache se samjh pae and apne relationship ko kaafi strong kar sake.

Aise multifaceted and clearly subjective psychological concept ko samjhne ke lie scietific research karne me bhi kaafi masakkat hue. But finally scientist ne 12 aisi baatein bataeye jo aapki sex life par kaafi bada imparct karti hai. Chaliye jaante hai un 12 factors ko.

1. Pornography And Sex Life

Pornography ka yu to poore society pe effect padta hai as in isilie duniya bhar ke kae desho ki government ne inhe ban kar rakha hai. But still incognito mode aur VPN ke is jamaane me log porn dekh hi lete hai. But jo log porn dekh kar khud ko stud samjhte hai unko ham bata de apni life ki sabse badi mistake kar rahe hai vo. Porn dekhne se sex life par kaafi jyada impact padta hai. Research me paya gaya hai satisfying sex life aur porn dekhne ka direct connection hai. Hota yu hai ki jo log porn ko dekhte hai unki expectations kaafi high ho jati hai. And aise log kabhi bhi apne partner ko as it is accept nhi kar paate hai. Reason being vo apne partner ko kisi pornstar se compare karte hai. Jo cheze porn moves me dikhae jaati hai as in vo hoti to screepted hai but ham reality samjh lete hai. And ham expect karte hai ki hamara partner bhi hamare sath bed room me kuch aisa hi rahe hai jaise porn movies me porn stars rahte hai.

2. Communication During Or Before Intimacy

Sex life me one of the most important factor hota hai communication. Agar aap apne partner ke sath sex ko lekar baat karne me shy feel karte hai then vo shyness hata dijiea. As in aapki sex life pe aapki shyness kafi jyada impact karti hai specially when it comes to sexual satisfaction. Research me paya gaya hai jo couples sex ko lekar kaafi opn rahte hai conversation karne me nhi jhijhakte unki sexual satisfaction ration kaafi high hai. Essential Handbook of Women’s Sexuality book ke according bedroom me hone vaali sexual activity ko satisfying banane ke lie thodi baat, thoda foreplay kaafi important hoti hai.

3. Single Vs Relationship

Agar aap casual sex me believe karte hai then 100% surity hai aapko sexual satisfaction nahi milta hoga. Research me paya gaya hai jo log hook-ups ya casual sex me rahte hai unka aur unke partner ka sexual satisfaction level kaafi kam hota hai. Shayad yehi karan hai ki Hook-ups me beleive karne vaale logo ko nae nae partners ki requirment hoti hai kyuki unko satisfaction nhi milta. Anyways, Research me ye bhi paya gaya hai jo log relationship me rah kar ek doosre ke sath hi sexual activities me indulge rahte hai unka sexual satisfaction level kafi high rahta hai. Kyuki relationship pe rahne vaale log ek doosre ko samjhne ki kosis karte hai aur then in activities me involve hote hai. Sahayd yehi reason hook-ups kabhi bhi relationship tak naho pahuch paate hai.

4. Rewards To Cost Theory

Rewards To Costs theory kaafi poorani and popular hai. According to this theory har reward ka kuch na kuch cost hota hai. And jaise jaise rewards badhte hai vaise vaise costs bhi ya yu kahe kabhi kabhi barabar bhi rahte hai. As in same goes with sexual activities, aapko rewards ke lie cost pay karni padti hai. And research me paya gaya if ye theory couples ke life me exists karti hai then sexual satisfaction bhi kaafi high rahta hai. According to Psychology Today Jaha sex life me Rewards refer karte hai positive aspects of relationship jo joy aur satisfaction dete hai, and vahi costs vo hoti hai jo pain, anxiety or efforts mangti hai. Therefore Sex life pain se jyada aapko fun provide karta hai. Although general thumb rule me females jyada consider karti hai psychological aspects ko as rewards, like security and love aur baat kare cost ki then physical behavioral like tab bhi sex karna jab mood na ho.

5. Self-Esteem

Life me self-esteem har jagah important role play karta hai. Then chahe vo aapka career ho ya aapki sex life. Agar aap khud ko lekar confident nhi then definetly jo bhi karne ki kosis krenge usme succes nhi paenge. Research me dekha gaya kam age females jyada age ki females ke comparison me high self-esteem vali hoti hai. And when it comes to older females then vo apni body shape ko dekh kar sexual activities se bhagti hai. As in body ke shape and size ko dekh kar vo khud ko undressed dekhna pasand nahi karti and hence if any case agar vo sexual activities me involve hoti hai then unko satisfaction nhi mil pata jo milna chahiye tha. Studies me paya gaya hai jyadataar females overweight nam ki bala se kaafi darti hai kyuki vo samjhti hai unka partner unko value nahi karenge and all. But aisa kuch bhi nahi hota hai sexual activites ka shape and size se fark nahi padta until unless apka self-esteem low ho. Aise me jinko feel sexual activies me indudlge hone me self-esteem ki kami mehsoos hoti hai unko doctors ka kahna regular excercise karni chahiye. Just try to love your body.

6. Age

An Active Sex Life Boosts Brain Power - Lifetime Daily

Sexual activities me kaafi important factor hai. But usko lekar kae controversies bhi hai as in Kuch studies bolti hai ki jaise jaise age badhti hai sexual acrtivities me kami aati hai and ek time par band ho jati hai. But vahi doosri taraf kae studies me kaha gya hai age is just a number, log apne 80’s me bade aram se sex ka maza lete hai. Aise hi ek survey Durex ne kiya tha jisme unhone paya tha ki 65+ hone ke bawjood bhi log hafte me ek baar to intimate ho jate hai.

7. Frequency And Exciting Sex

Durex Global Research ke research me paya gya hai 65% log jo apni sex life me experiment karte rahte hai unka satisfaction level kaafi jyada high rahta hai. Unse jo sirf missionary se shuru karte hai and vahi khatm kar dete hai. Agar aap bhi chahte hi ki aapki sex life me satisfaction level badh jae then uske lie aapko thoda spicy banani padegi sexual activities ko. Ab yaha spicy ka matlab ye nhi ki mircha lekar shuru hojae, spicy ka matlb hai different cheeze try kare then chahe positions ho ya phir foreplay ko badhana. Aapka satisfaction level aapke upar hi depend karta hai so experiment karte rahe.

8. Health

Kahte hai health is wealth to galat to nhi kahte honge. 193 scientist ke 2013 literature review ke according aapki health kaafi important factor play karti ha sexual activities me. Study me ye paya gaya ki healthy person ka sexual satisfaction kafi high hota hai. Normally males me erectile sexual dysfunction kaafi badi samasya hai jiske vajah se vo sexual satisfaction nahi paate hai. And on the other hand 34% females ko vaginal dryness se dikkat hai jiske vajah se har age ki female ko sexual satisfaction nahi mil pata. Doctors ka kahna hai aisi females ko liquid kaafi heavy amount me lena chahiye.

9. Stress

Vaise to sex ko srtress booster kaha gya hai. But normally dekha jae to sexual satisfaction na milne ka kahi na kahi main reason stres bhi hai. Studies me paya gaya hai ki jinko family ya financial stress hota hai unki life me sexual satisfaction kaafi low hota hai compare to those jo stress free rahte hai. Although stress ka biological factor bhi hota hai. Like hormonal changes, pregnancy and childbirth jo ki kaafi affect karte level of gratification ko. Vo saari females jinme aniexty aur agner bharpur matra me paya gaya hai unki life me sexual satisfaction nam matra bhi paya gya hai. So better to be stress-free if you want desirable sexual satisfaction. Meditation is the best way to get free from stress.

10. Socio-Economic Status

According to a Spanish national sex health survey, aapki finacial status kaafi jyada impact karti hai aapki sex life par. Survey me paya gaya tha jo well settle aur paise vaale the unme sexual satisfaction kaafi high tha compare to those jo paiso ko lie struggle kar rahe hai. Daily Mail ke report me bola gaya jinki economical situation achi hoti hai vo apne needs ke lie kaafi aware hote hai thereafore unme higher sexual satisfaction hone ki probality rahti hai. On the other hand jo econmically thode backward hote hai unme safe sex ke chances kaafi kam rahte hai aur preganancy ka bhi khatra rahta that results ki unka sexual satisfaction kaafi kam rahta hai. Iska kahi na kahi karan proper resources na hona bhi hota jo unki backwardness ki di hue hai.

11. Sexual Abuse & Sexual Guilt

Isme koe chaukne vaali baat nhi hai jo sexual abuse ka sikar hue hai unme satisfaction level kaafi kam paya jata hai. Reason being jab unke sath ye abuse hota hai that time unka koe sath nhi detaa aur na hi vo kisi se bhi isko share kar pate hai. jo later on as trauma life me rahta hai and vo apne partner ke sath bhi comfortable nhi ho pate hai.

Vahi doosri taraf kahe baat kare sex guilt ki then ye kahne galat nahi hoga ki sex guilt vale log hamare desh me sabse jyada pae jaate hai. Iska reason hai hamari upbringing agar timely sex ke baare me hame educate kiya jae then ham se ko as guilt nhi mehsoos karenge aur higher satisfaction ko achieve karenge. But hamare ye iske baare me koe charcha hi nahi hoti hai iska result ye hota hai sexual satisfaction bhi nahi milta.

Hamne ye posints aapke sath islie share kiye taaki aap samjh sako apne partner ko. Agar vo aapke sath comfortable nhi mehsus kar rahe hai ya aap unko satisfaction nhi de pa re hai to kahi na kahi inme se koe factor unki life me exist karte hai. And if karte hai then aap discuss kar sakte ho and sort out kar sakte ho. Kyuki a healthier sex life is the key of happy and successful relationship. Happy Sex!


Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

You May Also Like

Khushi & Vivek Chaudhary | The Trending Couple Of India

Agar ham aapse kahe ki aapko ek reality show me participate karna…

Jab Mayank Agarwal Ne Karva Di Jasprit Bumrah Ki Shadi RCB Ke Batting Coach Sanjana Banger Se

Yu to akshar memers ke haatho team India ke head coach Ravi…

KGF Makers Lekar Aarhe Hai Salaar, Bahubali Prabhas Ke Sath

Prabhas ek dark character play karenge apni upcoming movie “Salaar” me aur unka sath dete hue Shruti Hasan bhi dekhi ja sakengi.