in

OMGOMG

European Super League: Kya Ye League Hai Football Ka Naya Bada League?

European Super League

European Super League: FIFA ke warn karne ke bawjoot bhi 12 Famous Football giants clubs ne European Super League announce kar diya hai. The Super League aek annual football competition hoga jo sirf 20 selected football clubs ko lekar khela jayega.

European Super League

Which Are The Clubs In European Super League?

12 Clubs ko as founding clubs announce kar diya gaya hai. Jo clubs ne European Super league ko Establish karne ka idea rakha hai unhe founding clubs kehte hai. 

 European Super League

English Premier league ke Big 6 clubs Arsenal, Chelsea, Liverpool, Manchester City, Manchester United and Tottenham Hotspur founding clubs ke member hai. La Liga se  Atletico Madrid, Barcelona and Real Madrid ko select kiya gaya hai founding clubs. Serie A se Atletico Madrid, Barcelona and Real Madrid ko select kiya gaya hai.

Press release ke according ye naya league “Higher Quality Matches aur additional financial resources overall football pyramid lo dene ke intention se create kiya gaya hai. Also “Greater economic support aur European football ko support” karne ke idea se iss League ka nirman hua hai.

Lalach Buri Bala Hai!

Fans and Former football players ka yeh kehna hai ki iss European Super League ka establishment ka karan European Football ko support karna nahi but zyada paise kamane ka  Lalach hai. Covid restrictions ke hote hue bhi approximately 700 fans road pe aake protest karne lage Leeds Utd vs Liverpool ke scheduled match ke pehle.

European Super League

Fans Hue Naaraz!

Majority of football fans all over world ne apna disagreement jatate hue kaha ki The European Super League “Aek bandh shop ki tarah hai” jisme sirf self selected and wealthy clubs hi khel payenge.

European Super League ke Chairman Florentino Perez ka kehna hai ki aaj kal ki youth ka football mein interest raha hi nahi hai kyunki good quality matches ki kami hi itni hai ki youngsters unhe dekhna pasand hi nahi karte. Aur unka yeh bhi kehna hai ki iss league se clubs ka Covid ke chalte jo financial loss hua hai who bhi iske chalte cover ho jayega.

European Super League

Ab Paiso ki baat karein toh founding clubs ko 3.5 billion diya jayega, Covid ke dauran infrastructure and losses ko cover karne ke liye.  

UEFA Ka Kya Hai Kehna?

UEFA ke president ne announce kar diya hai ki agar yeh Super League khela gaya toh legal actions liye jayenge. UEFA ne warn kiya hai ki Super League ke three founding club members Chelsea, Manchester City and Real Madrid jo UEFA Champions League ke Semi Final mein pahonch chuke hai unhe bhi tournament se expel kar diya jayega.

European Super League

Kisi bhi founding clubs ne European Super League ke bare mein koi bhi statement nahi diya hai.


European Super League | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

Written by AM

Marvel Ne Finally Release Kia Apne Upcoming Movie Shang-Chi And The Legend of The Ten rings Ka Trailer

Vaccine

Vaccine For 18+ : Dukh Bhare Din beete Re Bhaiya Ab sukh Aayo Re!