in

OMGOMG WowWow

Ghar Aise Ki Dekhkar Sir Ghum Jaiga

Ghar To Har Kisi Ke Liye Jaruri Hota Hai, Phir Chahe Vo Chota Ho Ya Bada. Puri Duniya Mein Har Koi Apna Gahr Banane Ke Liye Bahut Mehnat Karta Hai. Har Koi Yeh Chahta Hai Ki Uska Ghar Sabse Accha Ho. Aisi Hi Koshis Karke Kuch Logon Ne Aise Ghar Banai Jo Dekhne Mein Suder To Hain Par Bahut Ajeeb Hain. Aise Gharon Ko Dekhkar Aap Soch Mein Pad Jainge Ki Manav Kya Kya Kar Sakta Hai. To Aiye Batate Hain Aapko Insaano Duara Banai Kuch Aise Hi Gharon Ke Bare Mein.

Transparent House

Ghar
P.C:architure art desgin

Hum Sabke Ghar Aise Hote Hain Ke Hamare Ghar Ke Darwaaze Aur Windows Kuch Yun Hote Hain Ki Unse Hamein Dhup Aur Fresh Air Milti Rahe Lekin Japan Ke Tokyo City Mein ANA Ke Naam Se Famous Hai. Yeh Ghar Puri Trah Se Transparent Hai , Jiska Construnction Saau Fujimoto Ke Saau Fujimoto Architect Se Banvaya Tha. 914 Sqft. Mein Bane Is Gahr Ki Sabhi Waals Transparent Hain. Jiski Vajh Se Aap Sirf Bathroom Ko Chodkar Is Ghar Ke Ander Ki Sari Cheezen Dekh Sakte Hain.

Duniya Ka Sabse Patla Ghar

Ghar

P.C:you tube

Yun To Ham Sabke Ke Ghar Bade Hi Hote Hain. Par Is Badhti Aabadi Mein Jaha Saharon Mein Rehne Ke Liye Jagh Ki Kami Pad Rahi Hai Vahi Poland Mein Aisa Gahr Hai Jo Behad Patla Hai Aur Kam Space Mein Bana Hai. Poland Mein Carret House Namak Duniya Ka Sabse Patla Ghar Maujood Hai. Two Multistory Building Ke Beech Ki Gali Mein Bana Hai. Iski Chaudaai 4.9ft. Hai Aur Minimum Chaudaai 3.2ft. Hai. Is Do Manjila Immarat Main Ek Bedroom, Ek Kitchen, Ek Bathroom Aur Ek Living Room Hai.

Upside Down House

Upside Down House Poland High Resolution Stock Photography and Images -  Alamy
P.C:Alamy

Poland Ke Szymbark Ke Ek Chote Se Village Mein Daniel Namak Vyakti Ne Is Ghar Ko Construct Kiya. Bahar Se Ulta Dikhne Vale Is Ghar Ko Banane Mein Normal Gharon Se 4 Guna Jyada Time Laga. Apne Is Strange Appearance Ki Vajh Se Yeh Ghar Yaha Aane Vale Tourist Ke Liye Attraction Ka Centre Bana Hua Hai.

Boeing 727 House

Ghar

P.C:Good Times

Agar Humein Kahi Door Jana Ho To Sabse Jaldi Hum Airplane Se Asani Se Pahunch Sakte Hain. Par Airplane Ko Ghar Banane Ke Bare Mein Sochne Vali USA Ke Banoit Mein Rehnevali Joeaan Yessari Ne Aisa Kar Dikhya Aur 1994 Mein Kareeb 30,000$ Ki Cost Mein Ek Retired Airplane Khareed Kar Usse Apne Rehne Ki Jagh Bna Li. Jiska Naam Unhone Little Trump Rakha. Is Gahr Mein Unhone 3 Bedroom , Living Room, Kitchen, Master Bathroom Aur Loundry Area Banvaya.Yessari Is Ghar mein April 1994 Se May 1999 Tak Rahi Aur Ab Yeah Tourist Le Attraction Ka Centre Hai.

Stone House

Ghar
P.C:My Best Place

Kasa Do Pando Means Stone Ka Ghar , Ji Hai Stone Ka Bana Yeah Ghar Purtgaal Mein Hai. Yeah Ghar Year 1972 Se 1974 Ke Midyear Mein Banaya Gaya Tha. Chaar Vishaal Prakartik Pathron Duara Banaye Is Ghar Ke Malik, Is Gahr Ko Apni Holidays Enjoy Karne Ke Liye Use Mein Late The. Par Aaj Is Gahr Ko Ek Museum Ka Roop De Diya Gaya Hai.


Ghar Aise Ki Dekhkar Sir Ghum Jaiga |Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin

What do you think?

Written by Neetu Kumari

Kedarnath Jana Chate Hain To Jaan Le Ye Jaruri Battein…

Kangna Ranaut Ne Lagaya Boldness Ka Tadka