Saal 2022 kafi utaar chadhav se bhara raha. phir chahe koe normal person ho ya bollywood ke celebrities. iss saal entertainment industry kaafi wide hoti dikhi but kahi na kahi bollywood industry down hote hue bhi nazar aae. ye saal kisi celebrity ka nahi balki content ka raha. isko lekar kaafi competion bhi raha phir chahe box office ho ya bhi IMDB ratings. ye saal almost khatm hi ho rakha hai kuch dino baad hi ham mil kar nae saal me pravesh karenge aur nae experiences ko welcome karenge. har saal ki tarah iss saal bhi imdb ne apni top 10 indian movies ki list bhi jaari kar di. chaliye aapko btate hai iss saal kis movie ne iss list me jagah banae.

1. RRR

IMDB ki Top 10 list me baazi maar kar RRR ne naya kirtimaan sthapit kiya hai. Yu to Indian cinema ko iss saal sabse jyada hit south industries ne diya hai but unme bhi sabse aage rahi RRR. Iss movie me Jr NTR aur Ramcharan as lead perform kiya tha. Aapko bta de kamai ke maamle me bhi ye film sabse aage rahi aur sirf india me hi nhi poore world ke box offices me kamae ki.

2. The Kashmir Files

Vivek Agnihotri ke direction me bani “the kashmir files” ne box office pe gehri chaap chori. release ke shuruvati dino me kuch khaas response nhi mila but achanak se hi iss movie ne aag ki tarah failna start kiya aur sirf mouth publicity ke through iss movie ne kamae me kae badi starer movies ko peeche chor history create ki. Iss movie me Anupam Kher ke character ki logo ne kaafi appreciate kiya. aapko bta de ye film kashmir me hue genocide’s pe based hai. although ye movie apni release se lekar ab tak vivado me hi rahi hai but IMDB ki Top 10 Indian movies ki list me 2nd position paane me kamayab bhi rahi hai.

3. KGF – Chapter 2

KGF saal 2022 ki most awaited movies me se ek rahi hai. Yash starer ye movies KGF series ka second installment hai. KGF ka first installment ek cult movie bani thi and uske baad se hi iske second chapter ke lie log kaafi jyada excited the. Iss movie me Sanjay Dutt as villain nazar aae the. KGF ke craze aur box office collection ke chalte ye movie IMDB ki Top 10 Indian movies ki list me 3rd Position paane me kamayab rahi hai.

4. Vikram

South industry ki taraf se iss saal ek se ek behtareen movies indian cinema ke chahne vaalo ko mili hai. jinme se ek nayab heera rahi hai legendry actor kamal hasan starer Vikram. iss film ne box office aur audience ke dilo me raj kiya hi kiya, sath hi sath IMDB ki top 10 Indian movies ki list me 4th position bhi bana li

5. Kantara

Ayushman Khurana ki movie Doctor G ke sath release hue movie Kantara ne indian cinema ko ek aur nayab heera diya. although ayushman ki movie doctor G kaafi ache concept aur story ke saath cinema halls me aae thi, but kantara ki aage ke saamne tik na pae. Rishabh Shetty ne iss movie ko direct kiya and sath hi sath as lead work bhi kiya. ye movie rongte khadi kar dene vaali aur special message dene vali thi. apni damdaar story aur realistic scenes ke chalte iss movie ne audience ke dilo pe raaj kiya hi kiya, sath hi IMDB ki list me 5th Rank bhi haasil kari.

6. Rocketry: The Nambi Effect

Actor R. Madhavan starer and directed science fiction movie Rocketry: The Nambi Effect ne logo ko ander se rula diya and hame sach se rubroo karvaya. Rocketry: The Nambi Effect kaafi inspirational movie thi and ye famous ISRO scientis Nambi Narayanan ke life pe based thi. Iss movie ko audience ka bahut pyaar mila and usi ka result raha ki iss movie ne IMDB ki list me 6th position pe kabza kiya.

7. Major

26/11 shayad hi koe indian is date ko bhul pae. Taj Mahal hotel pe hue hamle se aaj bhi hamara desh ubhra nahi hai. Shashi Kiran Tikka ke direction me bani Major movie usi Taj Mahal Hotel ke hamle se related hai. And iss movie me Major Sandeep Unnikrishnan ki story ko dikhaya gaya hai. Iss film me as lead actor  Adivi Sesh hame dikhe. Ye movie kaafi inspirational thi and that is why ye IMDB ki list me 7th position bana paee.

8. Sita Ramam

vaise to hamne kae love stories ko bade parde pe dekha hai. But sita ramam thodi hat kar thi. actor Dulquer Salmaan aur Actress Mrunal Thakur starer “Sita Ramam” ko pehle tamil aur telegu me hi release kiya gaya tha but logo ke beech excitment ko dekh kar iss film ko hindi me bhi release kiya gaya. aur iske chalte ye movie mass tak easily pahuch gae and kaafi moti kamae bhi ki. Sita ramam ko IMDB ki Top 10 list me 8th position mili hai.

9. Ponniyin Selvan: I

Ponniyin Selvan: I ya yu kahe PS-I ek multi starer movie hai. Is movie me kae saalo baad aapko Bollywood diva Actress Aishwarya Rai Bachhan dikhae deti hai. Yu to iss movie ki story line aur actions scenes ne sabhi ke dilo ko jeet liya. But Aish ke fans unki diwangi me hi theaters ke saamne line lagakar movie dekhne chal diye the. Legendry Director Maniratnam ne iss movie ko direct kia tha and IMDB ki top 10 list me iss movie ne 9th position pe kabza bhi kiya.

10. 777 Charlie

777 Charlie apne aap me hi ek anoothi story hai. Kiran Raj ke direction me bani iss movie me Rakshit Shetty ne as lead actor work kiya hai. 777 Charlie ek inshan aur kutte ke beech ke pyaar ko dikhaati hai. ye ek comedy drama movie hai but kahi kahi pe aapko rula bhi deti hai emotional karke. Iss saal IMDB ki top 10 Indian Movies ki list me 777 Charlie ne 10th Position pe apna kabza banaya hai.

to ye thi IMDB ki Top 10 Indian movies ki list. Vaise to iss list me iss saal ki tarah south ki filmo ka hi bolbala raha. but aaj ke iss digital yug me audience south ya north nhi dekhti. sirf acha content consume karti hai and isi ka result hai ki regional movies ab mass audience tak ja rahi hai. aur appreciation bhi pa rahi hai.


Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

You May Also Like

Bach Gaya RRR Ka Record, Prabhas India Ke Sabse Bade Superstar, Last 5 Film on Ki Opening Day Collection Hai Is Baat Ki Gawahi.

Kal Theatres Me Release Hui Film “Kalki 2898 AD” Apne Opening Day…

First 6 Months of Marriage Tips: Avoid These 8 Common Mistakes

The first 6 months of marriage tips are essential for any couple…

Tenet | Christopher Nolan Ki ‘Tenet’ Amazon Prime Par Hue Release

John David Washington ke sath dete hue Robert Pattinson aur , Elizabeth Debicki, Dimple Kapadia, Kenneth Branagh, Aaron Taylor Johnson, Michael Caine and Clemence Poesy jaise diggaz milenge movie me.

Postpone Ho Gayi Varun Dhawan Ki “Baby John,” Ab Is Nayi Date Par Hogi Release, Kya Naye Look Me Kamal Kar Payenge Varun

Varun Dhawan Ki Much Awaited Film “Baby John” Ko Ab Officially Nayi…